Showing posts with label Romantic. Show all posts
Showing posts with label Romantic. Show all posts

Friday, 18 July 2014

Gar yaad tum ko na rahe apna janam Din


gar yaad tum ko na rahe apna janam din,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,

Main kabhi na bhuloonga apne yaarka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.

milega, Jispe likha hoga ā€¯mubarak ho aapko aapka janamdin "

Ashaar mere yoon tou Zamane k liye hain


ashar mere yu to zamane ke liye hai,
***
kuch shear fakat unko sunane ke liye hai,
***
ab ye bhi nahi thik hardard mitade,
***
kuch dard kaleje se lagane ke liye hai..
***

Tumhe jab kabbhi mile fursat mere dil se bhooj utaar do


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhooj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
...
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
...
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Tumko hum Dil mein Basa lenge tum aao tau sahi


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao tau sahi..

Sari duniya se chupa lenge gein tum aao tau sahi..

Ek wadakaro ab humse na bichro ge kabhi..

Naaz hum saray utha lenge tum aao tau sahi..

Ikhtilaf bhi mit jayen gein rafta rafta..

Jis trha hoga nibha lenge tum aao tau sahi..

Be wafa bhi ho sitamgar bhi..jafa pesha bhi..

Hum khuda tumko bana lenge tum aao tau sahi..

Yu tu har simt nazar uthatay hi tareeki hai..

Pyarr ke deep jalaa lenge tum aao tau sahi..

Dil ki veerano se ghubar k na moo ko morron..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!

Jugnu ko Qaid kar k Muskaraya na karo


Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

...

Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.

Chota Sa ik Dreecha ho

jise Pyaar mohabat se sincha ho
Intikhaab-e-Sukhan.blogspot.com
 
Chota sa ik dreecha ho,
jise pyaar mohabat se sincha ho
...
kisi ki nazar na lage use use aisi lakeer se kheencha ho,
mukhtasir se is dreeche me beshumar khushian ho
...
khushio'n k rang aise ho
jo kabhi phike na par sake
...
chahte aisi ho daerpa jo hamasha deti rahe sada
ye pyar mohabat ulfat chahat ataa kar de sab ko aye khuda
...
mil kar bana le sab koi aisa gehwara
jis me rahe mohabat sada bahar

Sha'oor e May Ubal para, Aqal pe Phir Khumar Hai

( Poet: Razab Tabraiz )  
 

Shaoor e may ubal para aqal pe phir khumar hai




Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai ...
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
...
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
...
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
...
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
...
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
...
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
...
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
...
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal  hai
...
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
...
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
...
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
...
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
...
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
...
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
...
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
...
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
...
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-

Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )



ulfat mein Mujh mein Yaar mein Bechain kon hai


Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai
'
Teeno k is Shumar me, Bechain kOn hai
'
Baad e Saba ne Ghunche se, Sargoshi me kaha
'
Kali me, Gul me, Khaar me, Bechain kOn hai
'
In Aatishi SholOn se kai Dil Sulag uThe
'
Tu hi Bta, Rukhsaar me Bechain kOn hai
'
Gahak to Sare Raat hi Khush kar diye Gay
'
Phir aur ab Bazaar me, Bechain kOn hai
'
Dil me liye An'Dekhe kisi Weham ka Qyas
'
Doli me, Ya Kahaar me, Bechain kOn hai
'
Kis k liye Saza aBhi Khatam Nahi hui
'
Apne hi inTzar me, Bechain kOn hai
'
Saqi bhi Aaj Sharm khaa k, Puch rha hai
'
Sharab k Khumar me, Bechain kOn hai
'
Ba'juz KHUDA ! kisi k bhi Guman me kahan
'
Khinchi hui Muhaar me Bechain kOn hai  
'
Wo Khud b Nahi Janta k Uski Chah me
'
Do aik me, Hazaar me, Bechain kOn hai
'
Majburi e RAZAB hai, Ya ye Koi Marz hai
'
MajboOr me Lachaar me, Bechain kOn hai

Wednesday, 16 July 2014

Ye Roz o Shab K Silsilay, Draz se Draz Tar By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )


Teri Nazar k Faslay, Draz Se Draz tar



Ye Roz o ShaB k Silsilay, Draz se Draz Tar Teri Nazar k Faslay, Draz se Draz tar

Bichar Gaye Ya Mil Gaye, k Mil k Phir Bichar Gaye

FurqatOn k Marhalay, Draz se Draz tar

Youn Nhi, Main Wo Nhi, K aur ki Bhi mOh Nhi

WzahtOn k Mantqay, Draz se Draz Tar

PhoOt PhoOt PhoOtna, Din Charhay hi loOtna

Husan k ye Walwlay, Draz se Draz Tar

Pewand Bray Aziz tar, Daghon se Skht Dushmni

Aflaas k ye Tantanay, Draz se Draz tar

Wo But Nhi Khuda Nhi, Bashar se bhi Juda Nahi

Iman k Waswasay yahan, Draz se Draz Tar

Khyal o khwab gOondhna Adab k imTzaj me

Bekaar k hen MashGlay, Draz se Draz Tar

Sajan ka
Zikar Cherna, Saheliyon k Rubaru

Phir Be'Jhijhak se Qehqahay, Draz se Draz Tar

Paala jo inko Shoq se, kuch Kaam bhi to lijiYe

Kaali latton k Azdahay, Draz se Draz Tar

Ye Parhte Parhte gHaZaL ko, laPak k kyu Bharak Uthay

GaalOn k Surkh Atishay, Draz se Draz Tar.

Zakham e Gunah Chat'ti hai Jaan in Dino By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz ) 



Ansu hi aB ho gay Pehchan in Dino



Zakham e Gunah Chat'ti hai Jaan in Dino
Ansu hi aB to ho gay Pehchan in Dino

Doshiza Zindgi se Dil Uchaat ho Chala
Hai mauT ki Hasina se Peman in Dino

Sung khate khate Mar gya Ashufta Admi
Zinda hai mujh me ik Naya inSan in Dino

Itne iman laya hun Main Baat Baat par
Sahib e iman hogya, Be iman in Dino

Dukan e iShq bhi Na Mujhe Raas aa saki
Nafay se Brhta jata hai Nuqsan in Dino

Neele Zehar se likhne ka hai Shoq aajkal
Ghazal me Chashni ka hai Fuqdan in Dino

Taeyb Hua ! to Husn ne Wo Gur Sikha diye
Lab pe Lahol, Dil me hai Subhan in Dino

Majnu ki Jaan Chori to Ranjhay ko Jaa lia
Dars e Fana ka Dil pe hai Rujhaan in Dino

Chup Dekh kar sub Puchte hen Din me Baarha
RAZAB ! Hai kis Taraf Tera Dhyan in Dino  -

Zra Jo Meenh Brsta Hai Reayat Tum n karte ho By Razab Tabraiz

 ( Poet: Razab Tabraiz ) 






Zra jo Meenh Brsta hai Reayat Tum b krte ho
Bhare Pani k Mosm me Inayat Tum b krte ho

Shehar ki Beshtr Ankhen Tmhara Aks Deti hen
K Tukre Chand k kr k Qyamt Tum b krte ho

Bre Bazauq Qatil ho Bla k Rqs Prwr ho
Halaq Par Phair kr Khanjr Qdamt Tum b krte ho

Hmare Dil ki sub Baten Btate ho Tbsum me
Zahant Tum b krte ho Khyant Tum b krte ho

Faqeero ko Suna Hai Tm Hmesha Apne Dastar pr
Bari Khatir me late ho Mdarat Tum b krte ho

Hum hi pe Jaan Dete ho Sar e Mehfil mgr JAANA
Kmina Humko kehte ho Adawt Tum b krte ho
 
Khuda Ko Jan Deni hai, Khuda ka Khof hai Humko
Khuda ka Nam le le kr Syast Tum b krte ho

Mere Dil Par Chlane se Qabal Tkbeer Prhte ho
Yun Mashq e Tegh se Pehle Ryazt Tum b krte ho

Kahani apni or Meri Rewayt kr k kehte ho
Zulekha or Yousaf ki Bujhart Tum b krte ho

RAZAB k Shair Prhte ho RAZAB k Geet Gate ho
RAZAB k Nam Par Dil Ki Shhadat Tum b krte ho -

Ye Aarzu Thi Kabi Titliyan hi Dekh Aaen By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz ) 


Chaman mein Hansti hui Larkiyan hi Dekh aaen



Ye Arzu Thi, kabi Titliyan hi Dekh aaen*
Chaman me Hansti hui Larkiyan hi Dekh aaen*

Suna hai ! Daur e Khizan bhi hai Yadgar e Bahaar*

Chalo ! K Bikhri hui Pattiyan hi Dekh aaen*

Utho ! K Hum bhi karen Apna Asman Takhliq*

Ragon me Behti hui Bijiliyan hi Dekh Aaen*

Wo muFlisi me Bhala kese Din Guzaarta hai*

Gharib e Shehar ki, Sargarmiyan hi Dekh aaen*

Mila k Hath, Khudi ne kaha Muqadar se*

Jo Chal pare hen to AnhOniyan hi Dekh aaen*

AroOj e zaUm ka, Shayad k ToOt jaey Tilism*

Guzashtgaan pe Bani Dhairiyan hi Dekh aaen*

Zaruraten Na Sahi, Hasraten To Puri hOn*

Kharid Sakte Nahi, To Dukan hi Dekh Aaen*

Jo Urr sakin, wo Hwa sath le Uri kab ki*

Jo Bach rahi hen, wo Achhaiyan hi Dekh aaen*

Gurez krti hui Khalq se Zra Hat kar*

Kalaam krti hui Khidkiyan hi Dekh Aaen*

Ye Hum se kalay kahan, Aur kahan Hasin RAZAB*

Chalo k GaalOn ki kuch, laaliYan hi Dekh aaen...!

Apni Meyad E Gham me Main jung E Saleeb Tha By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )  




Apni Meyad E Gham me, Main jung e Saleeb Tha



Apni Meyad e gHam me, Main Jung e Saleeb Tha
Jo Bamurad Hunar tha, Tera Naseeb tha

Shehnaiyon me Goonjti thi, Qatal ki Rasm
Qatil b aik Shah tha, Rag se Qarib tha

Uzar ka iZraeel pe Harchand Asar Nahi
Malmal ka Nok e Khaar pe, Manzar Ajeeb tha

Charagari bhi Asar me 2, 4 Baras hai
LuQman bhi to Mar gya, jo ik Tabeeb Tha

100 Chand Raaten le gya, kal ShaB ka Rat'jaga
Mehfil Thi, Zafraan Tha, Mera Habeeb tha

Khamosh Rida Oarrh lee, Nadim Zameer Ne
Bus Nara e Takbeer tha, jab Dil Khateeb Tha

Mera Hisab le lia, To Khud bhi Ro Para
Wo Hasb e Haal hogya, jo Khud Haseeb tha

Dhairon Duaen de k Bhi Takka Na Mil Ska
Faqeer Roz e Eid bhi, Kitna Ghareeb Tha

FirdOs me bhi Shola e Hasad Nahi Bujha
Sardar Wahan Sathiyon ka Khud Raqeeb tha

RAZAB Bta ! Dilon ko kese lOot le gya
Jo Chor tha, Na Thagg Tha, Na koi Naqeeb Tha. 

Kaho Khamosh Karun Ya Main Sukhan'war Kar Dun By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz ) 



Kaho Khamosh karun ya Main Sukhan'war Kar dun


Kaho ! Khamosh karun, Ya Main  sukhan'war kar Dun
K Zair kar k ye Dunya, Tujhe Bartar kar Dun

Is'Qadar mOm Bane ga, To Pighal Jaey ga
Aa mery Paas meri Jaan, Tujhe Pathar kar dun

BeNiaz Khalq Ko, Sada Jahan Niaz mile
Khudi k Mulk me Tujhe, Main Wo Qasar kar dun

Zmana ! Qaus e Qzah k Sahar ka Hamil hai
Jo isko JazB kre, Tujhko Wo Nazr kar dun

Na jab Talak Murad Teri Gosh Bar Awaz uThe
Main Tujhko Goad liye Fajar Ta Asar kar dun

Tujhe Main Rad e Bala ka iSm Sikhane ko
HaroOf Pesh karun, Zair ko Zabar kar dun

Dehar ki Bazm me Dost ! Tujhe Unwan kar k
Kahani Nazm karun, Nazm ko Nasar Kar Dun

Har Fun me Taaq karun Yun, k lOg Shashdar hon
RAZAB ! Aa Taaj bina hi, Tujhe ZAFAR kar Dun.

Na bol Kar bhi Ankh Ki Junbish Si Mujh me Hai By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )



Na bol Kar bhi Ankh ki Junbish si mujh me hai


Na Bol kar Bhi Ankh ki Junbish si Mujh me hai
DoShiZgaan ko Khenchti Kashish si Mujh me hai


Jo Rog Paal kar bhi Kre Jug me Sarfaraz
Ghalib si Meer si, koi Rawish si Mujh me hai


Main Sard Mehar Bashar Hun, Par Yaar k liye
Dil me leHak hai,KhoOn me Tapish si Mujh me hai


Baatin me Hun Shafaf, Magar aur Baat hai
K Sung e Ishq Khane ki Kharish si Mujhe me hai


Veeran Gah e Dil ka kya ye Kam SaboOt hai ?
Barajmaan Koi "Pari'Wash" si Mujh me hai

Dushman ki Zarb bhi Mujhe Gulshan ka PhoOl hai
Har Zakhm se Numayan, Nawazish si Mujh me hai

Tum me aur Mujh me hai Faqat lafZon ka Hair Phair
Tafkhar hai aaP me, To Nazish si Mujhe me hai

Qayam sa Tujhse liPtun, aur Dayam sa ho rahun
Go akhri hai, Magar ye Khwahish si Mujh me hai

RAZAB ka Naam Youn bhi hai, Rungon ki ik Daleel
K Shair ki Ghazal ki jo, Kawish si Mujh me hai :-*

Ujla Hai Magar Sach Kahun Masoom Nahi Hai By Razab Tabraiz


( Poet: Razab Tabraiz )



Ujla Hai Magar Sach kahun Masoom Nahi Hai


Ujla hai maGar Such kahun, MasoOm Nahi hai
Kafan ko apna Darr abhi MalOom Nahi hai


Apni Nazar ne Dekhi, Faqat Maut Hasina
K jis k Peeche, koi Bhi HajoOm Nahi hai


Main bhi Chalaun iSm, To Bimar Gee Uthen
Niyat Zrur hai, Magr MazmOom Nahi hai


Ik Tara Mujh pe ToOt Gira Neend k Doraan
Ye Khwab Khas lagta hai, amOom Nahi hai


Khaqi Khamir ho k bhi kyu Gul se DoOr hun
Ye Esa Raaz hai k Jiski DhoOm Nahi hai


Fitrat Pe Paida Hota hai Fitrat ki Dain hai
Bacha kisi Mazhab se Kuch mOsoOm Nahi hai


Chahe Saza Kharid lo Ya Maang lo jaZa
Malik to Apni Zaat me MaqsoOm Nahi hai


Nabi ka Adal Such hai, Magar ye bhi Suna hai
AEYSHA k Jesi laadli, KALSOOM Nahi hai


Shab e Meraj ! Vasal k Ehsas ka Byan
Ik Qalb siwa, Warq par RaqoOm Nahi hai


Ghazal pe Tum iMan Dharo, kuch Gunah Nahi
RAZAB hai, koi Mahir e NajoOm Nahi hai

Jeevan Mein Ek Baar Sabhi Ne Kiya Hai Pyar

Jeevan mein ek baar sabhi ne kiya hai pyar,

Kuchh ne darr kar kuchh ne josh mein kiya izhaar,

Magar bina bole jab do dil keh jaye dil ki baat,

wahi hai nazar ka nazar se saccha ikraar.
***

Jab Se Suna Hai K Unhe Shayari Pasand Hai

Jab se suna hai ki unhe shayari pasand hai

Unki yeh pasand mere dil mein band hai,

Unhe paane ke liye main ban jaungi shayari,

Agar hume khabar ho ki vo bhi razamand hai.
...

Ho Mubarak tujhe Shaadi ki pehli Yeh Raat

Ho Mubarak Tujhe Shadi Ki Pehli Yeh Raat

Dua Karo K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Be Panah Hai Tum Se Hum Ko Pyar
 

Woh Kehta Tha Yeh Bar Bar

Ujaarh Gaya Woh Meri Zindagi
 

Woh Karte Karte Yehi Bat

Dil Nahin Lagta Ab Kahin Mera
 

Be Qabu Ho Gaye Hain Mere Jazbaat

Jab Se Gaye Ho Tum Ab To Din B Lagte Hain Raat
 

Tum Ne Chora Mera Hath

Moun Main Hi Reh Gai Meri Har Baat
 

Kyun Thama Tha Mera Hath

Jb Chor Ke Chalay Hi Jana Tha Mera Sath
 

Jate Jate Woh Bs Itna Hi Keh Gaya

Shayd Hamari Qismat Main Hi Nhe Hamara Sath
 

Suno Jaana Dua Kro K Hum B Bhool Jain Teri Har Baat

Ja Sanam Mubarak Ho Tujhe
 

Teri Shadi Ki Pehli Yeh Raat

Tu Phir Pardais Rawana Hai

To Phr Pardais Rawana Hai
.
Do Batain Hai Kar Laine Do.
.
Meri Aah Bachain Hai Seene May
.
Meri Aah Ko Aah Bhar Laine Do.
.
Us Kabristan K Konay May
.
Ik Chota Sa Ghar Laine Do
.
Ya "Purnum" Tanha Choro Na
.
Yaa Qadmo May Mar Laine Do
.
Sajan Pardais Mat Jao Akaile G Na Paon Ga
.
Teri Jab Wapasi Hogi May Tab Tak Mar Hi Jaonga
.
Kahain Jhulsa Na Daikh Sako Zamane Ki Tapish Ja'naa
.
Tujhe Zulfo Ki Chaaon May Hamaisha Hi Bithao Ga
.
Agar Jana Zarori Hai To Itni Baat Sunta Jaa
.
Main Ab Shahr E Ghamosha May Na'ai Dunya Basaon Ga
.
Tere Jaane Ka Ghum Ja'naa Hai Jan Laiwa Na Jane Q
.
Tumhain Bhi Kar Dikhaya Hai Tumhain Mar K Dikhaon Ga
.
Mujhe "Purnum Vatto" Apni Muhabt Ka Bharosa Day
.
Tu Rokhi Sokhi Khila Day Ga Main Rokhi Sokhi Khaon Ga
.
Sajan Pardais Mat Jao...