Friday 18 July 2014

Sha'oor e May Ubal para, Aqal pe Phir Khumar Hai

( Poet: Razab Tabraiz )  
 

Shaoor e may ubal para aqal pe phir khumar hai




Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai ...
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
...
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
...
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
...
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
...
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
...
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
...
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
...
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal  hai
...
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
...
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
...
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
...
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
...
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
...
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
...
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
...
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
...
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-

No comments:

Post a Comment