Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Monday 18 August 2014

us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai

us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai



us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai

us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai

kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai

shukria bhi likha hai dil se yaad karnay ka
dil de dil ka hai kitna faasla bhi likha hai

kaya usay likhain ‘Mohsin’ kaya usay kahain ‘Mohsin’
jis ne kar ke be-jan phir jan-e-jaan bhi likha hai

Sunday 10 August 2014

Yad kar ke muje takleef hi hoti ho gi

Yad kar ke muje takleef hi hoti ho gi





Ik kissa hoon purana sa bhula de muj ko

( Mohsin Naqvi )

Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin

Ajeeb tarah se dono nakam hoye mohsin




Wo mujay chah na saka or main usay bhula na saka


( Mohsin Naqvi )

Tere qareeb bi reh kar tujhe talash karon

Tere qareeb bi reh kar tuje talash karon




Muhabtoon main meri bad hawasian na gayen


( Mohsin Naqvi )

Ae zindagi tu hi bta kese tuj se payar karon main

Ae zindagi tu hi bta kese tuj se payar karon main




Teri har saans meri umar ghata deti hai


( Mohsin Naqvi )

Tumhen khabar hi nahin ke koi toot gaya

Tumhen khabar hi nahin ke koi toot gaya





Muhabaton ko bahut payedar karte hoye


( Mohsin Naqvi )

Aj ki raat bi mumkin hai na soo sakon mohsin

Aj ki raat bi mumkin hai na soo sakon mohsin




Yad phir ayi hai neendon ko urane wali


( Mohsin Naqvi )

Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Main Rahein Gay Mohsin

Ab Ye Socha Hai Apni Zaat Main Rahein Gay Mohsin




Buhat Dekh Lia Logon Se Shanasai Kar Ke

( Mohsin Naqvi )

Ulja Rahi Hai Muj Ko Yahi Kashmakash Musalsal Mohsin

Ulja Rahi Hai Muj Ko Yahi Kashmakash Musalsal Mohsin





Wo A Basa Hai Muj Main Ya Main Us Main Kho Gaya Hoon

( Mohsin Naqvi )

Us Ne Ye Soch Kar Hame Alwida Keh Diya Mohsin

Us Ne Ye Soch Kar Hame Alwida Keh Diya Mohsin





Ye Ghreeb Log Hain Muhabat Ke Siwa Kia Dey Gay


( Mohsin Naqvi )

Mila Tu Aur Bi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko

Mila Tu Aur Bi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko




Sameetna Thi Jisay Meri Kerchian Mohsin


( Mohsin Naqvi )

Inkaar Ki Si Lazzat Iqrar Main Kahan Hai

Inkaar Ki Si Lazat, Iqrar Main Kahan Hai..?




Barhta Hai Ishq Mohsin Un Ki Nahin Nahin Se


( Mohsin Naqvi )

Ham Se Bewafai Ki Inteha Kia Poochte Ho Mohsin

Ham Se Bewafai Ki Inteha Kia Poochte Ho Mohsin     Wo Hum se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye  ( Mohsin Naqvi )

Ham Se Bewafai Ki Inteha Kia Poochte Ho Mohsin




Wo Hum se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye

( Mohsin Naqvi )


Jab Chale To Tanha Thay Safr Main Mohsin

Jab Chale To Tanha Thay Safar Main Mohsin




Phir Tum Milay Gham Milay Tanhai Mili Qafla Sa Ban Gaya

( Mohsin Naqvi )

Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin

 Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin     Kuch Mohabtain Bi Bari Azait Nak Hoti Hain  ( Mohsin Naqvi )


Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin




Kuch Mohabtain Bi Bari Azait Nak Hoti Hain

( Mohsin Naqvi )

Jab Se Uss Ne Shehar Ko Chora Har Rasta Sunsaan Hua

Jab Se Uss Ne Shehar Ko Chora Har Rasta Sunsan Hua
Apna Kia Hai, Sare Shehar Ka Ik Jese Nuqsan Hoa

Sehra Ki Munh Zor Hwain, Auron Se Mansob Huen
Muft Main Ham Awara Thehray Muft Main Ghar Sunsan Hua

Mere Hal Pe Ye Hairat Kesi, Dard Ke Tanha Mosam Main
Pathar Bi Ro Parte Hain, Insan Tu Phir Insan Hua

Yun Bi Kam Aamez ha Mohsin Wo Is Shehr Ke Logon Se
Lekin Mere Samney Aa Kar Aur Bi Kuch Anjan Hoa

( Mohsin Naqvi )

Teri Baaton Main Zikr Us Ka Meri Baton Main Zikr Tera

Teri Baaton Main Zikr Us Ka Meri Baaton Main Zikr Tera




Ajab Ishq Hai Mohsin Na Tu Mera Na Wo Tera


( Mohsin Naqvi )

Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin

Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin




K Main Aaj Bi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hoon

( Mohsin Naqvi )


Jis Ko Tufan Se Uljane Ki Aadat Ho Mohsin

Jis Ko Tufan Se Uljane Ki Aadat Ho Mohsin





Aesi Kashti Ko Smandar Bi Dua Deta Hai


( Mohsin Naqvi )

Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin

Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin




Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra


( Mohsin Naqvi )