Showing posts with label Na Qais Na Farhad Na Ranjhe K Byaan Se. Show all posts
Showing posts with label Na Qais Na Farhad Na Ranjhe K Byaan Se. Show all posts

Wednesday 16 July 2014

Na Qais Na Farhad Na Ranjhe k Byaan se By Razab Tabraiz

( Poet:  Razab Tabraiz ) 



Na Qais Na Farhad Na Ranjhe K Byaan se



Na Qais Na Farhad Na Ranjhe k Byaan se
Wo Sirf Muskrate hen is Dil k Gumaan se...


Main Pristar e Vasl hun Wo Pristar e Shrm
1 Din to koi jaega 2no me iMaan se
...

Acha hai Firdos me koi Rsm Nhi hai
HoOron ko Wrna Deta, Munh Dikhai kahaan se
...

Jo Dil dia to Bole k, Iska kya krun
2 Gajre b Na laa ske PhoOlon ki Dukaan se
...

Wo B'Niqab aa rhe hen, DoOr hi Rahiyo
Nikalte hue Sans ne kaha ye Tufaan se
...

Zulf e Draaz ne Zamin ko ChoOm kr kaha
Koi Na Barrhe Teergi me Aur yahaan se
...

Tarif Unki Hum ne b Suni he Bar'ha
Khurshid se, Khushbu se, Titli ki Zubaan se
...

Nazdikiyon k Baar se Alfaz Sil Chuky
Ehsas Mgr Jaari he, Honto k Nishaan se
...

Nass Nass Meri Sabeel he Shrab e Ishq ki
So Chuskiyan Bhar lete hen Wo Neel e Rawaan se
...

Hijr b Mujhe Nafli iBadat ki Trah hai
Main Aah k Khilaf hun, Nafrat hai Fughaan se
...

RAZAB! Hamen Gale Milo k Hum Bure Nhi
Is Dais Hum Safeer hen 1 Mulk e Amaan se...
***