Showing posts with label Mir Taqi Mir. Show all posts
Showing posts with label Mir Taqi Mir. Show all posts

Sunday 10 August 2014

Wo Aaye Bazm Main Itna Tu Mir Ne Dekha

Wo Aaye Bazm Main Itna Tu Mir Ne Dekha




Phir Is Ke Bad Chiraghon Main Roshni Na Rahi


By: Mir Taqi Mir

Nazki Us Ke Lab Ke Kia Kehye

Nazki Us Ke Lab Ke Kia Kehye     Pankhari Ik Gulab Ki Si Hai  ( Mir taqi mir )

Nazki Us Ke Lab Ke Kia Kehye




Pankhari Ik Gulab Ki Si Hai

( Mir taqi mir )

Phirte Hai Mir Khwar Koi Pochta Hi Nahi

Phirte Hai Mir Khwar Koi Pochta Hi Nahi




Is Aashqi Main Tu Izat Saadat Bi Gayi


( Mir taqi mir )

Mir Un Neem Baz Aankhon Main

Mir Un Neem Baz Aankhon Main
Sari Masti Shrab Ki Si Hai



Daikh Tu Dil Ke Jaan Se Uthta Hai
Ye Dhuan Kahan Se Uthta Hai

( Mir taqi mir )

Milne Ka Wa’ada Un Ke Tu Munh Se Nikal Gya

Milne Ka Wa’ada Un Ke Tu Munh Se Nikal Gya




Pochi Jga Ju Mai Ne Tu Kha Hans Ke Khwab Main

( Mir taqi mir )

Dil Ki Verani Ka Kia Mazkoor Hai

Dil Ki Verani Ka Kia Mazkoor Hai




Ye Nagar So Martba Loota Gya

( Mir taqi mir )

Ishq Ik ‘Mir’ Bhari Pathar Hai

Ishq Ik ‘Mir’ Bhari Pathar Hai




Kab Ye Tujh Naatwan Se Uthta Hai

( Mir taqi mir )

Yaaro Muje Maaf Rakho Main Nashe Mein Hun

Yaaro Muje Maaf Rakho Main Nashe Mein Hun

Ab Do Tu Jaam Khali Hi Do, Main Nashe Mein Hun


Aik Aik Qart-e Dor Main Yunhi Hi Muje Bi Do


Jam-e Sharab Par Na Karo, Main Nashe Mein Hun


Masti Se Barhami Hai Meri, Guftagu Ke Bech


Jo Chaho Tum Bi Muj Ko Kahu, Main Nashe Mein Hun


Ya Hathon Hath Lo Muje, Manind Jaam-e May


Ya Thori Door Sath Chalo, Main Nashe Mein Hun


Ma’azoor Hun, Jo Paon Mere Be Tarah Pare


Tu Sargaran Tu Muj Se Na Ho, Main Nashe Mein Hun


Nazak Mazaj Aap Qayamat Hain Mir Ji


Joon Shesha Mere Munh Na Lago, Main Nashe Mein Hun


( Mir taqi mir )

Jab Ke Pehlu Se Yaar Uthta Hai

Jab Ke Pehlu Se Yaar Uthta Hai




Dard Be Ikhtiar Uthta Hai

( Mir taqi mir )

Aag They Ibtadye Ishq Mein Ham

Aag They Ibtadaye Ishq Mein Ham



Ho Gaye Khaak Intiha Yeh Hai

( Mir taqi Mir )