Showing posts with label tanhai. Show all posts
Showing posts with label tanhai. Show all posts

Monday 28 July 2014

Paani Sasta hai to phir uss ka Tahaffuz kesa


Paani sasta hai to phir uska tahaffuz kesa,




Khoon mehnga hai to har sheher me behta kyun hai..

Aik lamhe me mere mann ko Bhigo Deti hai


Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai,




Uski har baat hi saawan ki tarah lagti hai..

Huwe NaamWar Be Nishaan kese kese


Huye naamwar* be’nishaan kese kese,





Zameen kha gayi asmaan kese kese..

Ustaad kyun roya thaa kin Halaat ka maara tha


Ustaad kyun roya thaa kin halaat ka maara tha,




Bachon ko sikhaaya jo mohabbat kese likhte hain..

Alfaaz Giraa dete hain jazbaat ki Qeemat


Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,



Har baat ko alfaaz mein tola na karo..

Dil yoon Dharrka ke Pareshan hua ho jesse


Dil yoon dharrka ke pareshan hua ho jesse,




Koi be’dheyaani mein nuqsaan hua jo jesse..

kal hum ne Bazm e yaar mein kya kya Sharab pee

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,

Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,



Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,

Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,



Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,

Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..

Friday 18 July 2014

Hum un se judaa ho gaye



Hum Unse Juda Ho Gye,

Aa gaye wo mere janaze pe to sab wade wafa ho gaye,

Jhuk k unhone meri kabr se kaha,

Aap to sach mein humse khafa ho gaye

Wednesday 16 July 2014

Apni Meyad E Gham me Main jung E Saleeb Tha By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )  




Apni Meyad E Gham me, Main jung e Saleeb Tha



Apni Meyad e gHam me, Main Jung e Saleeb Tha
Jo Bamurad Hunar tha, Tera Naseeb tha

Shehnaiyon me Goonjti thi, Qatal ki Rasm
Qatil b aik Shah tha, Rag se Qarib tha

Uzar ka iZraeel pe Harchand Asar Nahi
Malmal ka Nok e Khaar pe, Manzar Ajeeb tha

Charagari bhi Asar me 2, 4 Baras hai
LuQman bhi to Mar gya, jo ik Tabeeb Tha

100 Chand Raaten le gya, kal ShaB ka Rat'jaga
Mehfil Thi, Zafraan Tha, Mera Habeeb tha

Khamosh Rida Oarrh lee, Nadim Zameer Ne
Bus Nara e Takbeer tha, jab Dil Khateeb Tha

Mera Hisab le lia, To Khud bhi Ro Para
Wo Hasb e Haal hogya, jo Khud Haseeb tha

Dhairon Duaen de k Bhi Takka Na Mil Ska
Faqeer Roz e Eid bhi, Kitna Ghareeb Tha

FirdOs me bhi Shola e Hasad Nahi Bujha
Sardar Wahan Sathiyon ka Khud Raqeeb tha

RAZAB Bta ! Dilon ko kese lOot le gya
Jo Chor tha, Na Thagg Tha, Na koi Naqeeb Tha. 

Kaho Khamosh Karun Ya Main Sukhan'war Kar Dun By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz ) 



Kaho Khamosh karun ya Main Sukhan'war Kar dun


Kaho ! Khamosh karun, Ya Main  sukhan'war kar Dun
K Zair kar k ye Dunya, Tujhe Bartar kar Dun

Is'Qadar mOm Bane ga, To Pighal Jaey ga
Aa mery Paas meri Jaan, Tujhe Pathar kar dun

BeNiaz Khalq Ko, Sada Jahan Niaz mile
Khudi k Mulk me Tujhe, Main Wo Qasar kar dun

Zmana ! Qaus e Qzah k Sahar ka Hamil hai
Jo isko JazB kre, Tujhko Wo Nazr kar dun

Na jab Talak Murad Teri Gosh Bar Awaz uThe
Main Tujhko Goad liye Fajar Ta Asar kar dun

Tujhe Main Rad e Bala ka iSm Sikhane ko
HaroOf Pesh karun, Zair ko Zabar kar dun

Dehar ki Bazm me Dost ! Tujhe Unwan kar k
Kahani Nazm karun, Nazm ko Nasar Kar Dun

Har Fun me Taaq karun Yun, k lOg Shashdar hon
RAZAB ! Aa Taaj bina hi, Tujhe ZAFAR kar Dun.

Manzilain bhi Uss ki thin Raasta bhi Uss ka Tha


manzilain b uski thein raasta bhi uska tha
aik main akaila tha qaafla b uska tha
...
sath sath chalnay ki soch b usi ki thi
phir raah badalnay ka faisala b uska tha
...
aaj main akaila hoon dil sawaal kerta hai
loog to ussi k thay...kya Khuda b uska tha ???

...


Sajan Pardais mat jao Akele Jee Na Paun Gi

Sajan Pardeis Mat Jao Akele Jee Na Paon Gi,

Jab Tak Tum Lout Aao Gay Main To Mar Hi Jaon Gi,

Keh To Rahe Ho K Jald Lout Aaon Ga,

Magar Main Bin Tere Na Reh Paon Gi,

Bharm Rakh Lo Meri Masoom Mohabbat Ka,

Main To Bin Tere Bikhar Kar Reh Jaon Gi,

Bin Tere Khud Ko Kaise Behlaon Gi ?

Bheer Mein Bhi To Tanha Khud Ko Paon Gi,

Kate Gi Na Ye Lambi Ratein Judai Ki,

Din Bhar Chup Chup K Aanso Bahaon Gi............!

Tuesday 15 July 2014

Aana Meri Qabar par Do phool Charha jana


Aana meri qabar par do phool chadha jana

Rona na aye muskura ke chale jana

Meri qabar pe ek baar zaroor ana

Magar shart hai ansoo na bahana

Takleef hogi rooh ko bhi ansoo jo aapke nikleinge

Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna

Tere khuwabon mein aya karunga zaroor

Kabhi yaad karke meri mohabat ko aazmaya karna

Meri qabar pe phool na chadhana ansoo'on ke

Bas aakar qabar pe apni mohabat ka saya karna

Meri dua hai tera ghar khushboo se bhara rahe

Tum khushi ki har mehfil mein jaya karna

Meri yaad mein na khona kabhi udaas ho kar

Apne humsafar ki agosh mein sojaya karna

Kabhi rokar mat pukarna mujhe

Main wahan se wapis nahi aaun ga.

Zauf ata Hai Dil ko Magar thaam tou lo By Ibn E Insha

Zauf Aata Hai Dil Ko Thaam Toh Lo,
Boliyo Mat Magar Salam Toh Lo.

Kaun Kehta Hai Bolo, Mat Bolo,
Haath Se Mere Ek Jaam Toh Lo.

Inhi Baaton Pe Laut Aata Hoon Main,
Gaali Phir Deke Mera Naam Toh Lo.

Ek Nigaah Par Bike Hain "Insha" Aaj,
Muft Mein Moal Ek Ghulam Toh Lo.

Roz Sahil pe khade Hoke yehi Dekha hai

Roz sahil pe khade hoke yahi dekha hai,Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan,
 

Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai.
Roz sahil pe khade hoke yahi socha hai,
 

Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan,
 

Ponchh loo haathon pe
Aur chpuke se ik baar kabhi,
 

Tere gulnaar se rukhsaaron pe,
 

Chhap se mal doon,
 

Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan.

Bandh Sheeshon ke Parey Dekh Dareechon ke udhar

Bandh sheeshon ke parey dekh,
 

Dareechon ke udhar...
 

Sabz pedon pe,
 

Ghanii shaakhon pe,
 

Phoolon pe wahaaan,
 

kaise chup chaap barasta hai,
 

musal-sal paani....
kitni aawaazein hain,
 

yeh log hain,
 

baatein hain magar...
zehan ke peechey,
 

kisi aur hi sateh pe kahiin,
 

jaise chup chaap barasta hai,
 

Tassavvur tera........

Khud hi ko tum apna Meharbaan Bana Lo

Khud hi ko tum apna,
Meharbaan bana lo,

Pyaar Mohabbat ko jeene ka,
Saman bana lo,

Bhale hi tum,
Na Badal Sako Ye Duniya.

Lekin Pehle Khud Ko,
Ek Achha Insaan Bana Lo

Jab Gardishon mein jaam they

Jab gardishon mein jaam they,
Kitne haseen ayyam they

[Ayyam - Days, din]

Ham hi na ruswa the faqat,
wo bhi badnaam they.

[Faqat - Sirf, only]

Kehte hain kuch arsa hua,
Qaabey mein bhi asnaam they.

[Asnaam - Idols]

Anjaam ki kya sochtey,
Na-vaqif-e-anjaam they.

[Na-vaqif-e-anjaam - Anjaam se bekhabar]

Hum tere Shehar mein aye Hain Musafir ki tarha

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarha
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kahan
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha

Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De

Apni Aankho'n Mein Chhupa Rakkhe Hai Jugnu Meine
Apni Palkon Pe Saja Rakhe Hain Aansu Meine

Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hothon Ki Shikaayat Sun Le

Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyun Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha

Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De​

Apne Bister Per Bohat Dair se Main Neem Daraaz

apne bister per bohat dair se maiN neem-daraaz
 

sochti thi K wo is waqt kahaN per ho ga
 

maiN yahan hoN magar us koocha_e_raNg-o-boo meiN
 

roz ki tarah se wo aaj bhi aaya ho ga
 

aur jub us ne wahaN mujh ko na paaya ho ga
 

"aap ko ilm hai, wo aaj nahi aai haiN"
 

meri her dost se us ne yahi poocha ho ga
 

kyoN nahi aai wo, kia baat hoi hai aakhir
 

khud se is baat pe sou baar wo uljha ho ga
 

kal wo aaye gi tou maiN us se nahi boloN ga
 

aap he aap kayi baar wo roottha ho ga
 

wo nahi hai tou bulandi ka safar kitna katthin
 

serrhiaN charrhte hoye us ne ye socha ho ga
 

rahdaari meiN haray lawn meiN phooloN k qareeb
 

us ne her simt mujhe aan dhoondha ho ga
 

naam bhoole se jo mera kahiN aaya ho ga
 

gher-mahsoos tareeqe se wo choNka ho ga
 

aik jumle ko kayi baar sunaaya ho ga
 

baat kerte hoye sou baar wo bhoola ho ga
 

ye jo larrki nayi aai hai, kahiN wo tou nahi
 

us ne her chehra yahi soch ker dekha ho ga
 

jaan_e_mahfil hai, magar aaj, faqat mere bagher
 

haaye kis darja wahi bazm meiN tanha ho ga
 

kabhi sannattoN se wehshat jo hoi ho gi usay
 

us ne be-saakhta phir mujh ko pukaara ho ga
 

chalte chalte koi maanoos si aahatt paa ker
 

dostoN ko bhi kisi uzr se roka ho ga
 

yaad ker k mujhe, namm ho gai hoN gi palkeN
 

"aanKh meiN parr gaya kuch" keh k ye taala ho ga
 

aur ghabra k kitaaboN meiN jo li ho gi panah
 

her satar meiN mera chehra ubhar aaya ho ga
 

jab mili ho gi usay meri alaalat ki khabar
 

us ne aahista se deewaar ko thaama ho ga
 

soch k ye, k bahel jaaye pareshaani_e_dil
 

youNhi be-waja kisi shaqs ko rouka ho ga
 

ittefaqan mujhe us shaam meri dost mili
 

maiN ne poocha k..... suno! aaye thay wo? kese thay?
 

mujh ko poocha tha? mujhe dhoondha tha chaaroN jaanib?
 

us ne ik lamhe ko dekha mujhe aur phir haNs di
 

us haNsi meiN tou wo talkhi thi k us se aage
 

kia kaha us ne..... mujhe yaad nahi hai lekin.....
 

itna maloom hai k khwaaboN ka bharam toott gaya