Showing posts with label Barish. Show all posts
Showing posts with label Barish. Show all posts

Monday 11 August 2014

Woh Jise Barish Pasand Na Thi

Woh Jise Barish Pasand Na Thi,

Najane Kion? Aj Dair Tak Tanha,

December Ki Barish me  bheegta Raha…

Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha

Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha,

Ik Tera Zikr Tha Jo Meri Sadaon Mein Raha,

Kitne Logon Se Mere Gehre Marasim Hain Magar,

Tera Chehra Hi Faqat Meri Du’aon Me Raha….

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy…

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy…




Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain…

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai




Kis kadar jald badal jate hain insan janaan

Bars sake to bars jaye is ghari warna

Bars sake to bars jaye is ghari warna




Bkhair dale gi badal ke saray khawab hawa

Jo Barish Ki Tamana Hai Tu In Ankhon Main Aa Betho

Jo Barish Ki Tamana Hai Tu In Ankhon Main Aa Betho



Wo Barson Main Kehain Barsain Ye Barson Se Barasti Hai

Muhabbat Tu Barish Hai

Muhabbat Tu Barish Hai

Jisay Chohne Ki Khawish Main


Hathalian Gheli Ho Jati Hain


Magar Haath Hamesha Khali He Rahte Hain…

Aaj Bi Wesa Hi Mosam Hai

Aaj Bi Wesa Hi Mosam HaiAaj Bi Wese Hi Badal HainAaj Bi Wesi Hi Barish HaiJab Ham Pehli Bar Milay ThyYad He Ham Ne Ye Socha ThaHam Ko Milte Dekh Ke MosamItna Khush Hai, Itna Khush KeIs Ki Aankhein Bheig Gayen HainAaj Magar Ham Jan Gaye HainMosam Us Din Kun Roya Tha!!

Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath


Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath




Kia Tuje Bi Koi Yad Aata Hai Barsat Ke Sath

Tum Jo Nahi Barsaton Main

Tum Jo Nahi Barsaton Main




To Aag Lage Barsaton Ko…

Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi

Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi




Tu Ne Mujhe Kho Dia Main Ne Tujhe Khoya Nahi

Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Muje Lahaq Tera Gham Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Udasi Jam Si Jati Hai Kisi Barf Ki  Manind

Khayalon Main Agar Tum Ho Aur Barish Ka Mosam Ho

Barish Ki Taiz Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par,

Barish Ki Taiz Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par,

Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha,

Hawa Ke Halke Jhonke Ki Jab Aahat Huwi Khirki Par,

Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha,

Main Tanha Chala Jab Barish Mein, Ek Jhonke Ne Mera Saath Diya,

Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Ehsaas Tumhare Jaisa Tha,

Phir Ruk Gayi Woh Barish Bhi, Rahi Na Baqi Aahat Bhi,

Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhare Jaisa Tha.

Tumhain Barish Pasand Hai Muje Barish Main Tum

Tumhain Barish Pasand Hai Muje Barish Main Tum

Tumhain Hansna Pasand Hai Muje Hanste Hoye Tum

Tumhain Bolna Pasand Hai Muje Bolte Hoye Tum

Tumhain Sab Kuch Pasand Hai Aur Muje Bas Tum

Hm tanha thy jb barish ny dastak de darwazy per

Hm tanha thy jb barish ny dastak di darwazy per

Hamain yu laga k tum aye ho


ANDAZ tumhary jesa tha


Hm tanha thy jb raho ma ak jhonky ny mra sat dia


Humain yu laga k tum aye ho


ANDAZ tumhary jesa tha


Na rahe barish Na raha jhonka


Sub chor gai mujko tanha


Humain yu laga k tum ja rahy ho


ANDAZ tumhary jesa tha

Kal Raat Barasti Rehi Sawan Ki Ghata Bi

Kal Raat Barasti Rehi Sawan Ki Ghata Bi




Aur Ham Bi Teri Yad Main Dil Khol Ke Roye

Is Barish Ke Mosam Main Ajeeb Se Kashish Hai

Is Barish Ke Mosam Main Ajeeb Se Kashish Hai




Na Chahte Hoye Bi Koi Shidat Se Yaad Aata Hai

Jab Barish Barsa Karti Hai

Jab Barish Barsa Karti Hai

Aur Har So Pani Hota Hai

Ham Apne Ghar K Aangan Main

Amar Bail Ke Saye Main

Prindon Ko Dekha Karte Hain

Aur Tum Ko Socha Karte Hain

Teri Yaadon K Barish Barasti Hai Muj Par Jab B

Teri Yaadon K Barish Barasti Hai Muj Par Jab B



Mai Bheeg Zaroor Jati Hoon Mgr Palkon Ki Had Tak

Badal Hoon Baras Jaun Tu Alzam Na Dena

Badal Hoon Baras Jaun Tu Alzam Na Dena
Tere Daman Mai Simat Aaon Tu Alzam Na Dena

Rahat Hoon Hmesha Tere Aangan Mai Rho Ga
Khushbu Ho Bikhar Jaon Tu Alzam Na Dena

Mai Phol Hon Balon Mai Sjaye Hoye Rakhna
Sanson Mai Mehak Jaon Tu Alzam Na Dena

Banhon Se Lipat Jaon Ga Gajron Ki Tarah Main
Qurbat Se Behak Jaon Tu Alzam Na Dena

Khuwabon Ki Tarah Aankhon Mai Bsaye Hoye Rakhna
Teri Nendon Mai Bhatak Jaon Tu Alzam Na Dena