Showing posts with label allama iqbal. Show all posts
Showing posts with label allama iqbal. Show all posts

Friday 8 August 2014

Phool ki patti se kat sakta hai heeray ka jigar

Phool ki patti se kat sakta hai heeray ka jigar




Mard-e-naadaan par kalaam-e-naram o naazuk bay-asar

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle

“Khudi ko kar buland itna”

By Allama Iqbal

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle

Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle

Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai

Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai

Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai

Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle

Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Tu shaheen hai, Tu shaheen hai, Tu shaheen hai

Tu shaheen hai, Tu shaheen hai Parvaz hai kam tera 
kam tera

Tere samne Aasman aur bhi hai

Tu shaheen he Basera kar Paharon ki chatano per

Tu shaheen hai tu Shaheen hai tu shaheen hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle

Khuda bande se ye pooche bata teri raza kia hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle

Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai

Wednesday 30 July 2014

Parwaaz Hai Dono Ki Isi Aik Fisa Mein

Parwaaz Hai Dono Ki Isi Aik Fisa Mein,

Kargis Ka Jahan Aur Hai Aur Shaheen Ka Jahan Aur,

Ilfaz o Muani Me Tafawat Nahi Lekin,

Mulla Ki Azaan Aur, Mujahid Ki Azaan Aur…

( By: Allama Iqbal )

Quwat e Ishq Se Har Past ko Bala Kar De

Qowat-e-Ishq Se Har Past ko Bala Kar De, 



Dehar Me Ism-e-Muhammad (S.A.W) Se Ujala Kar De…

Yeh Faizan e Nazar Tha ya K Maktab ki Karamat Thi

Yeh Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi,



Sikhaye Kis Ne ‘Ismaeel (A.S)’ Ko Adaab-e-Farzandi..!

( by: Allama Iqbal )

Dhoondta phirta hoon aye iqbal Apne aap ko

Dhoondta phirta hoon aye iqbal apne ap ko



Ap hi goya musafar ap hi manzal hoon main

Husn e Kardar se Noor E mujassam ho ja

Husn-e kardar se noor-e mujasam ho ja



Keh iblees bi tuje dekhe to muslman ho jaye

Parindon ki Dunya ka Darwaish hoon Main

( Iqbal Poetry )

Parindon ki duniya ka darwaish hoon main


Ke shaheen banata nahi aashiyana

Agar Lahu Hai Badan mein to Khoaf hai na Haras

Agar lahu hai badan main to khof hai na haras

Agar lahu hai badan main to dil hai be waswas

Jisey mila ye mtan-giran baha is ko

Na seem-o-zer se muhabat hai na gham-e-iflas

Zamana aya hai be Hajabi ka aam Deedar E Yaar Ho ga

Zamana aya hai be hajabi ka aam dedar-e-yar ho ga



Skoot tha parda dar jis ka, wo raaz ab aashkar ho ga

Jafa jo ishq main hoti hai woh jafa hi Nahi

Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi



Sitam na ho tu muhabat main kuch maza hi nahi

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan

Guzar auqat kar leta Hai Yeh Koh o Bayaban main

Ghuza Aoqat Kar Leta Hai Ye Koh-o Bayaban Main



Ke Shaheen Ke Liye Zillat Hai Kar-e-Aashian Bandi

Hansi Aati Hai Mujhe Hasrat E Insan Par

Hansi Aati Hai Muje Hasrat-e-Insan Par




Gunah Karta Hai Khud Laanat Bhejta Hai Shaitan Par

Parwane Ko Chiragh Hai Bulbul ko Phool Bas

Parwane Ko Chiragh Hai Bulbul Ko Phool Bas




Sadeeq Ke Liye Hai Khuda Ka Rasool Bas

Masjid Tu Bna Di Shab Bhar mein Aemaan Ki Hararat Walon Ne

Masjid Tu Bna Di Shab Bhar Main Aeman Ki Hararat Walon Ne



Man Apna Purana Papi Hai Barson Main Namazi Ban Na Saka

Mojon ki Tapash kia Hai Faqt Zoaq e Talab hai

Mojon Ke Tapash Kia Hai Faqt Zoq-e Talab Hai




Pinhan Jo Sadaf Main Hain Wo Dolat Hai Khuda Dad

Nahi hai Na umeed Iqbal Apni Kisht e Weraan Se

Nahi Hai Na Umeed Iqbal Apni Kisht-e Weran Se




Zara Nam Ho Tu Ye Matti Bahut Zarkhez Hai Saqi

Zindagi kuch Aur Shay Hai Ilm Hai Kuch Aur Shay

Zindagi Kuch Aur Shay Hai Ilm Hai Kuch Aur Shay



Zindagi Soz-e Jigar Hai, Ilm Hai Soz-e Dimag

Apne Bi Khafa mujh se Hain Begane Bi Na Khush

Apne Bhi Khafa Mujh Se Hain, Begane Bhi Na Khush



Mai Zehr-e Hlahal Ko Kabi Keh Na Ska Qand