Showing posts with label wasiyat. Show all posts
Showing posts with label wasiyat. Show all posts

Sunday 6 July 2014

Tu reh naward-e-shauq hy By IQBAL (Tipu Sultan Ki Wasiyat)

Tu reh naward-e-shauq hy, manzil na kar Qabool...!<
+
Laila B hum'nasheen ho to mehmil na kar Qabool...!<
+
Ae jooye Aab barh K ho darya-e-tund-o-taiz...!<
+
Sahil tujhe atta ho to sahil na kar Qabool...!<
+
Khoya na ja sanam'kada-e-kainat mein...!<
+
Mehfil gudaz! Garmi-e-mehfil na kar Qabool...!<
+
Subah-e-azal ye mujh se kaha Jibreel A.S ne...!<
+
Jo aqal ka ghulam ho, wo dil na kar Qabool...!<
+
Batil dooyi pasand hy, Haq La-Shareek hy...!<
+
Shirkat mayana-e-haq-o-batil na kar Qabool...!<
+
Book
Zarb-e-Kaleem


Ki Haqq se farishton ne Iqbal ki ghammaazi By IQBAL

Ki Haqq se farishton ne Iqbal ki ghammaazi...!<
+
Gustaakh hy karta hy fitrat ki hinabandi...!<
+
khaki hy magar is K andaaz hain aflaki...!<
+
Rumi hy na shaami hy kaashi na samar'kandi...!<
+
Sikhlaayi farishton ko aadam ki tarap is ne...!<
+
Aadam ko sikhata hy Aadaab-e-Khuda'wandi...!<
+
khudi ki jalwaton mein kibriya...!<
+
khudi ki khalwaton mein mustafai...!<
+
zameen-o-Aasaman-o-arsh-o-kursi...!<
+
khudi ki zadd mein hy sari khudai...!<

Us dais mein lgta hy adalat nahin hoti

Us dais mein lgta hy adalat nahin hoti...!<
+
Jis dais mein insan ki hifazat nahin hoti...!<
+
Makhlooq-e-Khuda jub kisi mushkil mein phansi ho...!<
+
Sajday mein parray rehna ibadat nahin hoti...!<
+
Hum khak nasheeno'n say hi keun krtay hain nafrat?...!<
+
Kya parda nasheeno'n mein ghalazat nahin hoti?...!<
+
Sir aankhon per hum us ko bitha letay hain aksar...!<
+
Jis K kisi waday mein sadaqat nahin hoti...!<
+
Pohncha hai agrchey barra nuqsan hamesha...!<
+
Phir bhi kisi banday ki ata'at nahin hoti...!<

Tu watan ki Aabro hy, (PST)

Tu watan ki Aabro hy, tu watan ka hy saharah..!<
+
Yeh hawaon K musafir, yeh samundaron K raahi..!<
+
Mere sir bakaf muajhahid, mere sar shikan sipahi..!<
+
Yeh tera yaqeen mehkam, teri himmaton ki jaan hy..!<
+
Tere bazo'uon ki kuwwat tere azm ka nishan hy..!<
+
Tu hi raah, Tu hi manzil, Tu hi meer-e-karwaan hy..!<
+
Yeh zameen teri zameen hy, yeh jahaan tera jahan hy..!<
+
Tu watan ka pasbaan hy, tere haath main hy shahi..!<
+
Mere sir bakaf mujhahid, mere sar shikan sipahi..!<
+
Teri abro'uon ki junbash teri ankh ka isharah..!<
+
Tere dushmano ki aafat, tere qehar ka isharah..!<
+
Tu watan ki aabro hy , Tu watan ka hy sahara..!<
+
Is aabro se chamka, is dais ka sitara..!<
+
Yehi bankapan hy tera , yehi teri kaj'kalahi..!<
+
Mere sir bakaf mujhahid, mere sar shikan sipahi...!<
+