Wednesday 16 July 2014

Ye Roz o Shab K Silsilay, Draz se Draz Tar By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )


Teri Nazar k Faslay, Draz Se Draz tar



Ye Roz o ShaB k Silsilay, Draz se Draz Tar Teri Nazar k Faslay, Draz se Draz tar

Bichar Gaye Ya Mil Gaye, k Mil k Phir Bichar Gaye

FurqatOn k Marhalay, Draz se Draz tar

Youn Nhi, Main Wo Nhi, K aur ki Bhi mOh Nhi

WzahtOn k Mantqay, Draz se Draz Tar

PhoOt PhoOt PhoOtna, Din Charhay hi loOtna

Husan k ye Walwlay, Draz se Draz Tar

Pewand Bray Aziz tar, Daghon se Skht Dushmni

Aflaas k ye Tantanay, Draz se Draz tar

Wo But Nhi Khuda Nhi, Bashar se bhi Juda Nahi

Iman k Waswasay yahan, Draz se Draz Tar

Khyal o khwab gOondhna Adab k imTzaj me

Bekaar k hen MashGlay, Draz se Draz Tar

Sajan ka
Zikar Cherna, Saheliyon k Rubaru

Phir Be'Jhijhak se Qehqahay, Draz se Draz Tar

Paala jo inko Shoq se, kuch Kaam bhi to lijiYe

Kaali latton k Azdahay, Draz se Draz Tar

Ye Parhte Parhte gHaZaL ko, laPak k kyu Bharak Uthay

GaalOn k Surkh Atishay, Draz se Draz Tar.

No comments:

Post a Comment