Showing posts with label Motivational. Show all posts
Showing posts with label Motivational. Show all posts

Friday 18 July 2014

Gar yaad tum ko na rahe apna janam Din


gar yaad tum ko na rahe apna janam din,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,

Main kabhi na bhuloonga apne yaarka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.

milega, Jispe likha hoga ”mubarak ho aapko aapka janamdin "

Tumhe jab kabbhi mile fursat mere dil se bhooj utaar do


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhooj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
...
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
...
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Zeena Zeena Dil mein utraa Hai


Roamtic Poetry
IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Chota Sa ik Dreecha ho

jise Pyaar mohabat se sincha ho
Intikhaab-e-Sukhan.blogspot.com
 
Chota sa ik dreecha ho,
jise pyaar mohabat se sincha ho
...
kisi ki nazar na lage use use aisi lakeer se kheencha ho,
mukhtasir se is dreeche me beshumar khushian ho
...
khushio'n k rang aise ho
jo kabhi phike na par sake
...
chahte aisi ho daerpa jo hamasha deti rahe sada
ye pyar mohabat ulfat chahat ataa kar de sab ko aye khuda
...
mil kar bana le sab koi aisa gehwara
jis me rahe mohabat sada bahar

Sha'oor e May Ubal para, Aqal pe Phir Khumar Hai

( Poet: Razab Tabraiz )  
 

Shaoor e may ubal para aqal pe phir khumar hai




Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai ...
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
...
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
...
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
...
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
...
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
...
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
...
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
...
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal  hai
...
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
...
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
...
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
...
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
...
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
...
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
...
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
...
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
...
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-

Monday 14 July 2014

Abhi tum Ishq mat karna

Abhi tum ishq mat karna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Tumhari umar hi kya hy?...!<
+
Faqt satra'n baras ki ho...!<
+
Abhi masoom bachi ho...!<
+
Nahin malum abhi tum ko...!<
+
K jab yeh ishq hota hy...!<
+
To insan kitna rota hy...!<
+
Sitare toot jate hain...!<
+
Saharay choot jate hain...!<
+
Abhi tum ne nahin dekha...!<
+
K jab sathi bicharte hain...!<
+
To kitna dard milta hy...!<
+
K har furqat K mousam main...!<
+
Hazaron ghum ubharte hain...!<
+
Hazaron zakhm khulte hain...!<
+
Suno larki...!<
+
'*'Meri Mano'*'...!<
+
Parhai par tawajo do...!<
+
kitabon main gulabon ko...!<
+
Kabhi bhule se mat rakhna...!<
+
'*'
Kitabain jab B kholo gi...!<
+
Yeh kanton ki tarhan dil main...!<
+
Chubhain gay, khoon bahayen gay...!<
+
Tumhain pehron satayen ge...!<
+
Kisi ko khat nahin likhna...!<
+
Likhai pakri jati hy...!<
+
Bari ruswai hoti hy...!<
+
Kisi ko phone mat karna...!<
+
Sadayen dil dukhati hain...!<
+
Wo awazain satati hain...!<
+
Meri nazmain nahin parhna...!<
+
Yeh mehshar utha dein gi...!<
+
Tumhain pagal bana dein gi...!<
+
Suno larki...!<
+
'+'Meri Mano'+'...!<
+
Apni taqdir se tum
khul K mat larna...!<
+
Abhi guriya se khelo tum...!<
+
Abhi tum ishq mat karna...!<
+

Adhoori baatein hi Zindagi hain

Adhoori baatein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein hi zindagi hain_!<
+
Agarcha dil ki udas ujri hui ruton main_!<
+
Bikhar gaye hain kayi zamano se sari batein_!<
+
Wo guzri batein_!<
+
Sulagte shamon K jalte bujhte alaao hi main_!<
+
Pighal gaye hain_!<
+
Adhoori batein zaroori batein_!<
+
Yeh khushk hoty hui ragon ki sayah kabron main neem murda_!<
+
Dassi hui khawhishon k hamrah Gundhi hui hain_!<
+
Yeh aankh ki putlion main thak k_!<
+
Khatakty palkon pe so gayee hain_!<
+
Tamam baatein darust janaa_!<
+
Tamam khadshay baja hain lekin_!<
+
Har ek imkaan zindagi main_!<
+
Ragon main aur rooh ki zameen main_!<
+
Inhi ki yaadein bhatak rahe hain_!<
+
Inhi k dam se zaeef jazbon_!<
+
Thitartey lafzon bhuji tamnnao main ramaq hy_!<
+
Adhoori baatein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein hi zindagi hain_!<
+
Wo guzri batein bhula na dena_!<
+
Khayal rakhna_!<
+
Khayal rakhna_!<

La kar barhmanon ko siyasat K paich mein BY IQBAL

(Iblees Ka Farman Apne Siasi Farzandon Ke Naam)
'*'
La kar barhmanon ko siyasat K paich mein...!<
+
Zunnariyon ko dair-e-kuhan se nikal do...!<
+
Wo faqa'kash K mout se darta nahin zara...!<
+
Rooh-e-Muhammad (S.A.W.) is K badan se nikal do...!<
+
Fikr-e-arab ko de K farangi takhiyyulat...!<
+
Islam ko hijaz-o-yaman se nikal do...!<
+
Afghaniyon ki ghairat-e-deen ka hy ye ilaj...!<
+
Mullah ko un K Koh-o-daman se nikal do...!<
+
Ahl-e-Haram se un ki rawayat cheen lo...!<
+
Aahu ko murgh-zaar-e-khutan se nikal do...!<
+
*Iqbal* K nafs se hy lale ki Aag taiz...!<
+
Aese ghazal sara ko chaman se nikal do...!<

Hussain Ahmed By Dr IQBAL

Ajam hanooz nadand rumooz-e-deen, warna...!<
+
Za deoband "Husain Ahmad" aen che bu-ul-ajabi ast...!<
+
(Aalama Iqbal farmaty hain k mujhe aysa malum hota hy k ajme log abhi tak deen islam se aagah nahi howe warna ye kasy mumkin tha k "Deoband" K "Hassan Ahmad" musalmanon ko esi talkeen karty jo sara'sar islam ki ru k khalaf hy)...!<
+
=>Saroad bar sar-e-minbar K millat az watan ast...!<
+
Che bekhabar za-maqam-e-Muhammad (S.A.W.) Arabi ast...!<
+
(Yani jo shaks musalam ho kar yeh kehta hy k mellat-e-islameya ki buneyad watan hy, ya musalman ghar'musalmoo K sath mil kar mutahed'da qomeyat bana sakty hain. Ya kuffar aur muslam dono mil kar ek qom ban sakty hain wo "Sarkar-E- Do-Aalam S.A.W.W" ki talemat se bila-shuba be khabar hain)...!<
+
'*'
Ba Mustafa (S.A.W) barsaan khowesh ra K deen hama ost...!<
+
Agar bah o ner sayyadi, tamam bu-lahabi ast...!<
+
Ae musalman! Tu wataniyat ka jadeed nazriya ikhtiayar mat kar jis ki ro se qomeyat ki bunyad watan hy, bal'ka "Sarkar-E-Do-Aalam S.A.W.W" ki taleem ye hy k Musalmano ki qomiyat ki bunyad watan ni hy balky "KALMA-E-TOHEED" hy, yani sari duni k Musalma "Millat-E-WAHID" hain. Aur is liye wo kisi tor Muslam Qom k sath mil kar Mutahidda qomeyat ni bansakty...!<
+
Nazm ka pasy manzar.
+
Molana "Hassain Ahmad" madni ne 9 jan 1938 ko dili main ek takreer ki thi, jis main unhon ne Musalmano se ye kaha tha k majuda zamana main qomain Watan se banti hain is liye Musalmano k liye lazam hy k musalmano ki qomeyat ki bunyad "DEEN ISLAM" ni hy balka Watan hy,
>
+
jab Molana ki ye takreer "Hazrat Aalama Iqbal" ki nazar se guzri to inhain bhot malal howa k Molana ne AALAM-E-DEEN ho kar ye KHILAF-E-DEEN ki yeh taleem kis tarha Musalmano k samne pesh kr rahy hain aur kis tarha insan ko Qubool karne ka mashwara diya? Kuyun k Quran Hadees aur Fiqa 3 ki roo se Musalmano ki Qommeyat ki bunyad "KALMA-TAYYIBAH" hy na k watan.
Nazam ka lehja qadray drst hy lekin is ki waja ye hy k Molana k is irshad se Iqbal ko bhot shadeed ROOHANI kofat aur ZEHNI aziyat pohnchi thi.