Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Monday 25 August 2014

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye







Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye

Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye



Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne

Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye



Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka

Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye



Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se

Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye



Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath

Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye



Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka

Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye



Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki

Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye



Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad

Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye



Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi

Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye



Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa

Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye



Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish

Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Mishalen derd ki seenon mein jalaaey rakhna

Mishalen derd ki seenon mein jalaaey rakhna





Mishalen derd ki seenoN meiN jalaaey Rakhna

Apney KaandhoN pe saleeboN ko uthaaey rakhna



Khak jalwoN sey na ho jaaey kaheeN toor-e Khayal

Bazm-e jaanaN meiN nazar apni Jhukaaey rakhna



Jaaney phir saqi-o mey khana mileN ya na MileN

Apni saansoN mein mehek mey ki basaaey rakhna



Rehzan-e waqt kaheeN ye bhi mataa'a loot na ley

Apney seeney meiN mera derd chupaaey rakhna



Jaaney kab lot ke aa jaaey wo bhatka raahi

Raat bher shama dareechey meiN jalaaey rakhna



Jab talak ho na tulu seena-e zulmat sey Qamar

apni palkowN pe sitaarowN ko sajaaey rakhna

Mere Hastee main jo likha hay mitaon kaysay

Mere Hastee main jo likha hay mitaon kaysay





Mere Hastee main jo likha hay mitaon kaysay

Abb tum hi batao kay tumhain bhulaon kaysay



Log kahtay hain kay main jo hon wo tum hi to ho

tayray honay ko main sab say chupaon kaysay



Jagtee ankhon say bhi daykhon tu tera sapna daykhon

apni ankhon main kissi or kay khab sajaon kaysay



main jo chahon bhi tu kah na paon kouch bhi tum say

mayri jo halat hay wo main tough ko sunaon kaysay.

meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai

meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai





meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai

meray charo'n tarrf hai jalwa garr teri be rukhi bhi ajeeb hai



mera dard hai lab e aashna teri ranjisho'n k azaab say

meray shair hain meray chara garr meri dil lagi bhi ajeeb hai



jo hai ta'ana zann meri zaat par mujhay unsay koi gila nahee'n

mujhay jaan say hain azeez tarr meri dosti bhi ajeeb hai



mai lahoo jigar say guzar kar, tujhay naql karta hoo'n warq warq

hai qalam ki nauk say mukhtasar teri aagahee bhi ajeeb hai



mai peher ki tapti hawao'n say, karhi dhoop mai kharha be khabar

saray reh-guzar tera muntazar, meri be basi bhi ajeeb hai

Mujhey ik lamha chaho to sahi yun he kabhi

Mujhey ik lamha chaho to sahi yun he kabhi





Mujhey ik lamha chaho to sahi yun he kabhi

Zindagi ki naveed ban jao tum yun he kabhi



Gar kabhi aankh yeh meri jo nam ho jaye

To meray ansoon ko pe jao tum yun he kabhi



Gar kabhi mayos jo hojaon zindagi say apni

To mera maseeha ban tum jao yun he kabhi



Gar kabhi zuban meri sath mera na day

To meri zuban ban jao tum yun he kabhi



Gar sirf dukh ka hisaar paon mein gird apnay

To chand lamhay ke khushi ban jao tum yun he kabhi



Gar safar lamba ho mera aur sath na ho koi

To meri humsafar ban jao tum yun he kabhi



Gar mein kho gaya aur manzal ka taeyan na ho

To meri manzil ban jao tum yun he kabhi



Gar TANHA kabhi tanha hojaye is duniya mein

To meri tanhai ban jao tum yun he kabhi

yeh chaahat bhi ajab si hoti hai

yeh chaahat bhi ajab si hoti hai





yeh chaahat bhi ajab si hoti hai

kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai





rang birangi kaanch ki chooriyon si hoti hai

pehan lo to shokh khanak

toot jaaye to ik chubhan si hoti hai





phool par thehri shabnam si hoti hai

saja kay ik ik patti

phisalti hui saath chor saa deti hai





fiza mein phaili khusboo si hoti hai

pal bhar ko apni

phir door faasilon mein phaili si hoti hai





badaltay mausam taiz hawaaon si hoti hai

khilay to bahaar jaisay

rukh badlay to khizaan si hoti hai





yeh chaahat bhi ajab si hoti hai

kuch na hotay huway bhi sab kuch hoti hai

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi





Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi

TumheeN Badal Gayey, Ya Woh Ulfat NahiN Rahi..



Har Baat Pe Tanaa Har Andaz MeiN TashheH

KiyoN Saaf NahiN Kehteh Mohabbat NahiN Rahi..



GheroN Pe Karam, ApnoN Pe Sitam Karte Ho

Phir Shaan Se Kehte Ho, Qurbatt NahiN Rahi..



Sehraa MeiN, Tapish Mein, Jab Tum Ne HumeiN Choorraa

Is Husn Ke Baazar MeiN Woh Qeematt NahiN Rahi..



Mana Ke Hum Se Bhi Bohat Ghaltiyan Hoi heN

Shaed Ke Darguzar Ki Tumhein Aadat NahiN Rahi..



Manzar To Wohii HaiN Halaat HaiN Badlay

Shaed Kay Ishq-e-Yaarr Ki Zarrorat NahiN Rahi..!!

Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay

Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay





Kuch Dard Liye Iss Duniyaa Main Rehta Parhtha Hay

Roz Jeena Parhtha Hay Roz Marnaa Parhthaa Hay



Aagahi Kay Azaab Kay Saath Guzarti Hay Zindagi To

Iss Karb-e-Musalsal ko Hamesha Sehna Parhtha Hay



Agarchey Nafs Ki Ghulaami Say Azaad Hobhi Jaye Bashar

Phir Bhi Zarooraton Kay Jehad Ko Larna Parhtha Hay



Bohat Unwaanon Say Ibarat Hotey Hain Iss Jahan Kay Gham

Har Chand Kay Khushi Kay Nisaab Ko Bhi Parhna Parhtha Hay



Iss Umer-e-Raigaan Kay Haadsaat Say Ham Sambhal Hi Gaye

Maslehat Kay Tehat Hi Sahi Yah Kaam Bhi Karna Parhtha Hay



Katthin Aur Dushwaar Raaston Per Chal Kar Milta Hay Wasl

Uskay Liye Hijr Ki PurKhaar raah Say Guzarnaa Parhtha Hay



Saba Taluqaat Jab Banney Lagey Rooh Ka Azaab

Inn Saarey Taluqaat say Phir Mukarna Parhtha Hay

Mohabbat ki basti main gunah gar thehrey

Mohabbat ki basti main gunah gar thehrey





Mohabbat ki basti main gunah gar thehrey

Sumbhal kar chulay per khata kar thehrey



Va-e-rey kismat ajab khel khela tu nay

Chuptey phirey per ashkaar thehrey



Khultey nahi logh mudaaton baad bhi

Khuli kitaab thay per be-aitebar thehrey



motiyoon kay khuzanay bharey ankhoon main

Nigahon main zamany ki per be-kaar thehrey



Hum hi masoom they kay pehchanay na sazishoon

Ya phir apnoon ki bheer main hi ayaar thehrey!!!

Dil Ki Ab Koi Arzoo Hi Nahin

Dil Ki Ab Koi Arzoo Hi Nahin





Dil Ki Ab Koi Arzoo Hi Nahin

Ek teri Chahat Palayne Ke Siwa.



Jeene Ka Ab Koi Maqsad Hi Nahin,

Sung Tere Umer Bitanay ke siwa.



Dil Ki Ab Koi Hasrat Hi Nahin,

Ek Teri Jogan Ban Janay Ke Siwa.



Ankhon Mein Ab Koi Sapna Hi Nahin,

Ek Teri Dulhan Ban Janay Ke Siwa.

bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi

bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi







bisat-e-ishq me muje maat ho jaye gi...

kise khabr thi k banjr ye zat ho jaye gi...



shayd wo ana me pehchan-nay se inkar ker day...

kabhi jo rah-e-ishq pe mulaqat ho jaye gi...



judai bakhshay gi umer bhar ka adhoura pun...

ya hijr me mukamal meri zat ho jaye gi...



us ka nam tak lene ki ijazat nai ab to...

khayal to yeh tha k kabi kabi bat ho jaye gi...



guman tak na tha is qadar zawal ka aakash...

socha tha k subh hote hi rat ho jaye gi...

tum ghamoun ko aangan mein abaad neigh kerna

tum ghamoun ko aangan mein abaad neigh kerna







tum ghamoun ko aangan mein abaad neigh kerna

khushyoun se bahara aangan berbaad neigh kerna



punchie to hawaahoun mein azaad hi orta hai

penjaray ke band punchie azaad neigh kerna



beakar umeedoun per beakar se waadoun per

tum zindagi youn apni berbaad neigh kerna



jab beachaar jaay koi ye loat kay na aay

tab tootay huway dil ko nashaad neigh kerna



duniya ka chalan hai ye dill tor ke hunstie hai

is duniya ke aagay tum feryaad neigh kerna

Main hon majnoon mera andaz zamanay wala

Main hon majnoon mera andaz zamanay wala





Main hon majnoon mera andaz zamanay wala

teri nagri main to pathar nahin khany wala



tu nay daikha hi nahi sath mery chal ky kabhi

main hon tanhai ka bhi sath nibhanay wala



mujh ko tum dasht e taheer main no choro tanha

khof taari hai ajab dil ko daranay wala



khof ata hai mujhy apni hi tanhai sy

roth jata hai koi mujh ko mananay wala



dil wo sheesha k tera aks liye phirta hai

roz aata hai koi is ko mitanay wala



is ki har bat sir ankhon pay liye phirta hon

mujh ko accha bhi to lagta hai rulanay wala



is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai

main wohi hon tera kirdaar fasanay wala



har qadam soch samjh kr hi uthana ay dil!

tera rehbar to nahin rah batanay wala



chahay jitni bhi safarish karo is ki

main teri baton main hargiz nahin anay wala

Tu Hai Ya Tera Saya Hai

Tu Hai Ya Tera Saya Hai







Tu Hai Ya Tera Saya Hai,

Bhesh Judayi Ne Badala Hai,



Dil Ki Havelii Par Muddat Se,

Khamoshi Ka Qufl Para Hai,



Cheek Rahay Hain Khali Kamre,

Shaam Se Kitni Teaz Hawa Hai,



Darwazay Sar Phor Rahay Hain,

Kon Is Ghar Ko Chor Gaya Hai,



Hickhki Thamati Hi Nahi "NASIR"

Aaj Kissi Ne Yaad Kiya Hai......!!!!

Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh

Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh





Gaye Dinon Ka Chiraag LeKar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manoos Ajnabi Tha Mujhe Toh Hieeran Kar Gaya Woh,



Bas Ai Moti Si Chub Dikha KarBas Aik Mithi Si Dhun Suna Kar,

Sitara Sham Ban K Aya Barang Khuwab Shehr Gaya Woh,



Khushi Ki Raat Ho K Gham Ka Mousam Nazar Usay Dhundti Hai Har Dam,

Woh Buye Gal Tha K Naghma Jaa'n Maray Toh Dil Mein Utar Gaya Woh,



Na Ab Woh Yadon Ka Charta Darya Na Fursaton Ki Udas Barkha,

Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya,



Kuch Ab Shanbalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Door Asmaan Bhi,

Jo Raat Bhari Thi Thal Gayi Hai Jo Din Khara Tha Guzar Gaya Woh,



Woh Jis K Shanay Par Hath Rakh K Safar Kiya Tunay Manzilon Ka,

Teri Gali Se Najanay Kyun Aj Sar Jhukaye Guzar Gaya Woh,



Woh Raat Ka Be Nawa Musafir Woh Tera Sahir Woh Tera "NASIR",

Teri Gali Taq Hum Ne Dekha Tha Phir Najanay Kidhar Gaya Woh......!!!!

Bar bar kya karty eitbar kya karty

Bar bar kya karty eitbar kya karty





Bar bar kya karty

eitbar kya karty



haar man beTha tha,

us pe waar kya karty



tu bata k tery bad,

mery yaar! kya karty



khud se bhi adawat thi,

tum se pyar kya karty



wo ana se khela tha,

derkinar... kya karty



pyar pyar hota hay

karobar kya karty



gham se pyar tha Shakir,

ghamgusar kya karty

Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa

Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa





Us ki jaam-e-jam aaNkhein shiisha-e-badan meraa

us kii band muTThii me.n saaraa baa.Nkpan meraa



aao aaj ham dono.n apanaa apanaa ghar chun le.n

tum tabaah-e-dil le lo Khittaa-e-badan meraa



mai.n ne apane chehare pe sab hunar sajaaye the

faash kar gayaa mujh ko saadaa pairahan meraa



dil bhii kho gayaa shaayad shahar ke suraabo.n me.n

ab merii tarah se hai dard bevatan meraa



ek dasht-e-Khaamoshii ab hmeraa muqaddar hai

yaad besadaa terii zaKhm bechaman meraa



roz apanii aa.Nkho.n ke Khvaab Khuun karataa huu.N

haaye kin Ganiimo.n se aa pa.Daa hai ran meraa



maGrabii havaa ne phir ye sandeshaa bhejaa hai

muntazir tumhaaraa hai Khushbuo.n kaa ban meraa

Us ki yadon ka tha safar logo

Us ki yadon ka tha safar logo





Us ki yadon ka tha safar logo,

Neend aati kya raat bhar logo.



Zakhm mujko milay judai main,

Mai raha phir bi bay kahbar logo.



Kis tarah se usay manata main,

Lafz sare thay be asar logo,



Sirf aankon say ashk behtay thay,

Khuwab saray thay dar badar logo,



Tanha tanha hai aaj bhi

Zindagi ho gi kia basar logo.

AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON

AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON





AB MAIN RASHAN KI QATARON MAIN NAZAR ATA HON

APNE KHETON SEY BICHADNE KI SAZA PATA HON



ITNI MEHANGAI KEY BAZAR SEY KUCH LATA HON

APNEY BACHON MAIN USEY BANT KEY SHERMATA HON



APNI SOCHON KA LAHOO PONCHNEY KI KOSHSH MAIN

JAGTEY JAGTEY THAK JATA HON SOJATA HON



KOI CHADER SAMAJH K KHEENCH NA LEY IS KO KHALIL

MAIN KAFAN ODH KEY FOOT PATH PEY SOJATA HON

Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai

Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai





Khizaon ki udaasi hai jo ab tak dil pai chaayi hai

Baharon ka haseen mausam kahin sai saath lana tum..



Yeh mana aur bhi tum ko jahan mai hain bohat sai kaam

Magar duniya kai mailon mai hamein mat bhool jana tum..



Mairay ashaar hain jitnay.. Tumharay naam kerta hoon

Ghazal mairy sunno jab bhi.. Ghazal mai doob jana tum..



Agar tum sai koyi mairay baray mai poochay tu

Faqat itni si khuwahish hai.. Mujhay apna batana tum..





Koyi jab Alwida-ee mausam ka zikar chairay tu

Nammi ankhon mai matt rakhna.. Hamesha muskurana tum..