Showing posts with label urdu. Show all posts
Showing posts with label urdu. Show all posts

Tuesday 29 July 2014

Tere Charche Hain Jafaa Se Teri

تیرے چرچے ہیں جفا سے تیری
لوگ مر جائیں بلا سے تیری

کوئی نسبت کبھی اے جانِ سخن
کسی محرومِ نوا سے تیری

اے میرے ابرِ گریزان کب تک
راہ تکتے رہیں پیاسے تیرے

تیرے مقتل بھی ہمیں سے آباد
ہم بھی زندہ ہیں دعا سے تیری

تو بھی نادم ہے زمانے سے ‘فراز‘
وہ بھی ناخوش ہیں وفا سے تیری

Dard ki Dil pe hukumat thi kahan tha Uss Waqt


Dard ki dil pe hukomat thi kahan tha us waqt
jab muje teri zaroora thi kahan tha us waqt

Mout ke sukh main chala aya muje dekhne ko
Zinda rehne ki museebat thi kahan tha us waqt

Dil ke daryaon main ab rait hai sehrayon ki
Jab muje tum se muhabat thi kahan tha us waqt

Monday 28 July 2014

Paani Sasta hai to phir uss ka Tahaffuz kesa


Paani sasta hai to phir uska tahaffuz kesa,




Khoon mehnga hai to har sheher me behta kyun hai..

Aik lamhe me mere mann ko Bhigo Deti hai


Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai,




Uski har baat hi saawan ki tarah lagti hai..

Huwe NaamWar Be Nishaan kese kese


Huye naamwar* be’nishaan kese kese,





Zameen kha gayi asmaan kese kese..

Ustaad kyun roya thaa kin Halaat ka maara tha


Ustaad kyun roya thaa kin halaat ka maara tha,




Bachon ko sikhaaya jo mohabbat kese likhte hain..

Alfaaz Giraa dete hain jazbaat ki Qeemat


Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,



Har baat ko alfaaz mein tola na karo..

Dil yoon Dharrka ke Pareshan hua ho jesse


Dil yoon dharrka ke pareshan hua ho jesse,




Koi be’dheyaani mein nuqsaan hua jo jesse..

jab kabhi Khud ko Yeh Samjhaon ke tu mera Nahin


Jab kabhi khud ko yeh samjhaon ke tu mera nahin,



Mujh me koi cheekh uthta hai, nahin aesa nahin..

Woh Shakhs bhi mere haal se Anjaan Betha hai


Woh shakhs bhi mere haal se anjaan betha hai,





Yoon ishq me goya hum ne paaya kuch bhi nahin…

Friday 18 July 2014

Zeena Zeena Dil mein utraa Hai


Roamtic Poetry
IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Wednesday 16 July 2014

Aankhon mein sama jatey ya Dil Main Utar jatey


Ankhon me sama jatay ya dil main utar jatay,
 
Donoo'n ka bhala hota dono'n hi sanwar jatay ...
 
Miltay tau ye acha tha jeevan ki musafat main,
 
Kuch faaslay kam hotay kuch rooz guzar jatay ...
 
...Doori bhi ganeemat hay ik aas tau hay werna,
 
Joo aas pay jeetay hayn woo log bikhar jaatay ...
 
Manzil na thikana hay acha hay nahin kuch bhi,
 
Ruktey tau kahan ruktay jaatay tau kahan jatay .

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam hone Do


abi suraj nahi doba zara c sham hony do
mein khud hi lout jaon ga mujhy nakam hony do

mujhy bad-nam karny k bahany dhondty ho q???
mein ho jaon ga bad-nam pehly naam hone do

abi mujh ko nahi karna etraf-e-shikast jana
mein sub taslin kr lun ga ye charcha aam hone do

meri hasti nahi anmol phir b bik nahi sakta
wafaen baich lena par zara neelam hone do

naye aghaz mein hi hosla q torr bethy ho???
jeet jao gy tum sub kuch zara anjam hone do…!!!

Tuesday 15 July 2014

Bandh Sheeshon ke Parey Dekh Dareechon ke udhar

Bandh sheeshon ke parey dekh,
 

Dareechon ke udhar...
 

Sabz pedon pe,
 

Ghanii shaakhon pe,
 

Phoolon pe wahaaan,
 

kaise chup chaap barasta hai,
 

musal-sal paani....
kitni aawaazein hain,
 

yeh log hain,
 

baatein hain magar...
zehan ke peechey,
 

kisi aur hi sateh pe kahiin,
 

jaise chup chaap barasta hai,
 

Tassavvur tera........

Khud hi ko tum apna Meharbaan Bana Lo

Khud hi ko tum apna,
Meharbaan bana lo,

Pyaar Mohabbat ko jeene ka,
Saman bana lo,

Bhale hi tum,
Na Badal Sako Ye Duniya.

Lekin Pehle Khud Ko,
Ek Achha Insaan Bana Lo

Jab Gardishon mein jaam they

Jab gardishon mein jaam they,
Kitne haseen ayyam they

[Ayyam - Days, din]

Ham hi na ruswa the faqat,
wo bhi badnaam they.

[Faqat - Sirf, only]

Kehte hain kuch arsa hua,
Qaabey mein bhi asnaam they.

[Asnaam - Idols]

Anjaam ki kya sochtey,
Na-vaqif-e-anjaam they.

[Na-vaqif-e-anjaam - Anjaam se bekhabar]

Hum tere Shehar mein aye Hain Musafir ki tarha

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarha
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kahan
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha

Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De

Apni Aankho'n Mein Chhupa Rakkhe Hai Jugnu Meine
Apni Palkon Pe Saja Rakhe Hain Aansu Meine

Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhaabat Sun Le
Kap Kapate Huae Hothon Ki Shikaayat Sun Le

Aaj Izhaar-e-Khayaalat Ka mauqa De De

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyun Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha

Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De

Hum Tere Shehar Mein Aaye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De​

Apne Bister Per Bohat Dair se Main Neem Daraaz

apne bister per bohat dair se maiN neem-daraaz
 

sochti thi K wo is waqt kahaN per ho ga
 

maiN yahan hoN magar us koocha_e_raNg-o-boo meiN
 

roz ki tarah se wo aaj bhi aaya ho ga
 

aur jub us ne wahaN mujh ko na paaya ho ga
 

"aap ko ilm hai, wo aaj nahi aai haiN"
 

meri her dost se us ne yahi poocha ho ga
 

kyoN nahi aai wo, kia baat hoi hai aakhir
 

khud se is baat pe sou baar wo uljha ho ga
 

kal wo aaye gi tou maiN us se nahi boloN ga
 

aap he aap kayi baar wo roottha ho ga
 

wo nahi hai tou bulandi ka safar kitna katthin
 

serrhiaN charrhte hoye us ne ye socha ho ga
 

rahdaari meiN haray lawn meiN phooloN k qareeb
 

us ne her simt mujhe aan dhoondha ho ga
 

naam bhoole se jo mera kahiN aaya ho ga
 

gher-mahsoos tareeqe se wo choNka ho ga
 

aik jumle ko kayi baar sunaaya ho ga
 

baat kerte hoye sou baar wo bhoola ho ga
 

ye jo larrki nayi aai hai, kahiN wo tou nahi
 

us ne her chehra yahi soch ker dekha ho ga
 

jaan_e_mahfil hai, magar aaj, faqat mere bagher
 

haaye kis darja wahi bazm meiN tanha ho ga
 

kabhi sannattoN se wehshat jo hoi ho gi usay
 

us ne be-saakhta phir mujh ko pukaara ho ga
 

chalte chalte koi maanoos si aahatt paa ker
 

dostoN ko bhi kisi uzr se roka ho ga
 

yaad ker k mujhe, namm ho gai hoN gi palkeN
 

"aanKh meiN parr gaya kuch" keh k ye taala ho ga
 

aur ghabra k kitaaboN meiN jo li ho gi panah
 

her satar meiN mera chehra ubhar aaya ho ga
 

jab mili ho gi usay meri alaalat ki khabar
 

us ne aahista se deewaar ko thaama ho ga
 

soch k ye, k bahel jaaye pareshaani_e_dil
 

youNhi be-waja kisi shaqs ko rouka ho ga
 

ittefaqan mujhe us shaam meri dost mili
 

maiN ne poocha k..... suno! aaye thay wo? kese thay?
 

mujh ko poocha tha? mujhe dhoondha tha chaaroN jaanib?
 

us ne ik lamhe ko dekha mujhe aur phir haNs di
 

us haNsi meiN tou wo talkhi thi k us se aage
 

kia kaha us ne..... mujhe yaad nahi hai lekin.....
 

itna maloom hai k khwaaboN ka bharam toott gaya

Mohabbat Mein kabhi do raye ka imkaan nahi hota

Mohabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahi hota
 

ye hoti hai tau hoti hai
 

nahin hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahin hoti
 

koi acha agar lag jaye tau sub khamiaan us ki
 

achanak . . . khoobiyon ki aurhni main chup si jati hain
 

zamana lakh samjhaye, sambhal jao
 

 wo aisa hai, wo waisa hai
 

samajh main kuch nahi aata
 

 sama’at aur basarat ko sujhai kuch nahi deta
 

samajh aata hai us lamhay
 

ke jab daman main lakhon chaid ho jayen
 

kabootar ke paroon ke saath liptay sub ayaan jab bhaid ho jayen
 

muhabbat main kabhi dau raye ka imkaan nahin hota
 

ye hoti hai tau hoti hai
 

nahi hoti tau jitna bhi jatan kar lau nahi hoti..

Meine Uss Se Poocha Tha Kya Dhoop Mein Barish Hoti Hai

Jab Main ne Us Se Poocha Tha.
Kya Dhoop Mein Barish Hoti Hai.
Wo Hanste Hanste Rone Lagi.
Or Dhoop Mein Barish Hone Lagi.
Nazuk Si Kali Murjha C Gayi.
Or Ro Kar Mujh Se Kehne Lagi.
Tum Chor Na Jana O Sajan.
Dil Torr  Na Jana O Sajan.
Tum Kya Jano Dhoop Ki Barish ko.
Tum Kya Jano Hijir K Gham ko.
Jab Tum Door Thy Mujh Se O Sajan.
Mere Hath Ki Chori Aur Kangan.
Jab Geet Tumhare Gatey They.
Mujhe Yaad Boht Tum Aaty They.
Main Hanste Hanste Roti Thi.
Aur Dhoop Mn Barish Hoti Thi.