Showing posts with label Stylish. Show all posts
Showing posts with label Stylish. Show all posts

Thursday, 31 July 2014

Aaye Khushiyon Ka Mausam Bahar Ban Kar

Aaye Khushiyon Ka Mausam Bahar Ban Kar


Har Kanta Barsaye Phool Tum Par


Gham Chup Jaye Khushiyon Ku Rah Dikhakar


Pareshaniyan Bichad Jaye Sukoon De Kar


Har Nafrat Tum Se Door Hojaye Mohabbat De Kar.


Har Khwaish Puri Hojaye Dua Bankar


Submitted By: asjad

Saturday, 19 July 2014

Apno'n main hain jo Shaad unhein Eid Mubaarak





apno'n main hain jo shaad unhein eid mubarak,

aur ham hain jisay yaad ussay eid mubarak,

apna tu kisi toor se kat ja'ay ka yeh din,

tum jis se milo aaj ussay eid mubarak,



Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam





Eid ka chand falak par nazar aaya jis dam,


meri palkon par sitaray they teri yaadon ke

Khushbu badal phool kaliyan shabnam tere naam






Khushbo,badal,phool kaliyan,shabnam tere naam,

 Dost Eid ki khushiyan hain sab tere naam,

jilmil karta neela pani,jugmug karte chand taray,

raat ke taray,kirnain,chanda,ponam tere naam

iss Eid per jo mil na sake hum tou kya hua






iss eid par ju mil na sakay ham tu kya huwa,


jazbon main ho khaloos tu eid'ein hazaar hain

Friday, 18 July 2014

Tumhe jab kabbhi mile fursat mere dil se bhooj utaar do


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhooj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
...
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
...
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Zeena Zeena Dil mein utraa Hai


Roamtic Poetry
IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Jugnu ko Qaid kar k Muskaraya na karo


Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

...

Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.

Chota Sa ik Dreecha ho

jise Pyaar mohabat se sincha ho
Intikhaab-e-Sukhan.blogspot.com
 
Chota sa ik dreecha ho,
jise pyaar mohabat se sincha ho
...
kisi ki nazar na lage use use aisi lakeer se kheencha ho,
mukhtasir se is dreeche me beshumar khushian ho
...
khushio'n k rang aise ho
jo kabhi phike na par sake
...
chahte aisi ho daerpa jo hamasha deti rahe sada
ye pyar mohabat ulfat chahat ataa kar de sab ko aye khuda
...
mil kar bana le sab koi aisa gehwara
jis me rahe mohabat sada bahar

Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai By Razab Tabraiz

( Poet: Razab Tabraiz )



ulfat mein Mujh mein Yaar mein Bechain kon hai


Ulfat me, Mujh me, Yaar me, Bechain kOn hai
'
Teeno k is Shumar me, Bechain kOn hai
'
Baad e Saba ne Ghunche se, Sargoshi me kaha
'
Kali me, Gul me, Khaar me, Bechain kOn hai
'
In Aatishi SholOn se kai Dil Sulag uThe
'
Tu hi Bta, Rukhsaar me Bechain kOn hai
'
Gahak to Sare Raat hi Khush kar diye Gay
'
Phir aur ab Bazaar me, Bechain kOn hai
'
Dil me liye An'Dekhe kisi Weham ka Qyas
'
Doli me, Ya Kahaar me, Bechain kOn hai
'
Kis k liye Saza aBhi Khatam Nahi hui
'
Apne hi inTzar me, Bechain kOn hai
'
Saqi bhi Aaj Sharm khaa k, Puch rha hai
'
Sharab k Khumar me, Bechain kOn hai
'
Ba'juz KHUDA ! kisi k bhi Guman me kahan
'
Khinchi hui Muhaar me Bechain kOn hai  
'
Wo Khud b Nahi Janta k Uski Chah me
'
Do aik me, Hazaar me, Bechain kOn hai
'
Majburi e RAZAB hai, Ya ye Koi Marz hai
'
MajboOr me Lachaar me, Bechain kOn hai