Showing posts with label Pyaar. Show all posts
Showing posts with label Pyaar. Show all posts

Friday 18 July 2014

Khuda kaise karoon Shukriya iss Din ke Liye


Khuda kaise karoon shukriya is din ke liye
Jis din tumhe dharti pe bheja hamare liye

Na jaane kyonmain intezaar kar raha tha
Shayad janamdin hai tumhara is liye

Meri har ek dua hai teri lambi umar ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis ke liye…
***
Happy BirthDay

Kay Tere Janam Din par


Kay Teray Janam Din par
Khuda Paak!
...
Tujhay who sub kuch Ata karay
Jis ki Tammanna Teray Dil nayKi,
...
Har who Khuahish jo teray labon par
Machalti ho
...
Poori Ho!
...
Aur teri yeh Roshan Ankhain Sada Chamkain
...
Teri MAsoom muskurahat
Sada teray labon ka Mehwar ho
...
Khushiyun say tera daman Hameesha Bhara rahay
Aur Khuda Paak!
..
Teri Umer Daraz Karain

Zeena Zeena Dil mein utraa Hai


Roamtic Poetry
IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Tumko hum Dil mein Basa lenge tum aao tau sahi


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao tau sahi..

Sari duniya se chupa lenge gein tum aao tau sahi..

Ek wadakaro ab humse na bichro ge kabhi..

Naaz hum saray utha lenge tum aao tau sahi..

Ikhtilaf bhi mit jayen gein rafta rafta..

Jis trha hoga nibha lenge tum aao tau sahi..

Be wafa bhi ho sitamgar bhi..jafa pesha bhi..

Hum khuda tumko bana lenge tum aao tau sahi..

Yu tu har simt nazar uthatay hi tareeki hai..

Pyarr ke deep jalaa lenge tum aao tau sahi..

Dil ki veerano se ghubar k na moo ko morron..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!

Jugnu ko Qaid kar k Muskaraya na karo


Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

...

Sitam karna haikaro par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo?.

Sha'oor e May Ubal para, Aqal pe Phir Khumar Hai

( Poet: Razab Tabraiz )  
 

Shaoor e may ubal para aqal pe phir khumar hai




Sha'oOr e May Ubal Para, Aqal pe Phir Khumar hai ...
Ghazal ki iBtda kro, Fiza bhi Sazgaar hai
...
GulOn k Kafan k liye, KafoOr kOn laey ga
...
K BaghBan to Mar Chuka, Bahaar bhi Tyar hai
...
Iman o Dil kisi Tarah, Jo ho sake Bcha rakho
...
Qatil Bala ka Tez Tar ! Qazaq hai, Ayaar hai
...
Afsanvi Romaan me, Husan ne Hosh se kaha
...
JunoOn se Hath khench le, JunoOn to Ganwaar hai
...
Haya k Sung laalGi, aZal se ik Misaal  hai
...
K jese Geet hai Jahan, Wahin kahin Sitaar hai
...
Wo Jaa Chuka To apne Ghar, Main Dhundta he reh gya
...
Kahan kahan SakoOt hai Kahan Kahan Pukaar hai
...
Zamin hi Sada yahan ! Falak k Aib kyu Bhare
...
To Chand ko Sazaen do, Jo Jal me kuch Jawaar hai
...
Zindgi se Maut ko, Shehar ne Youn Mila Dia
...
Jnazah'Gah hai Jis taraf, Usi Taraf Bazar hai
...
Wo kehte kehte Aaj Phir, RAZAB se doOr ho gay
...
K ! Kaif Pesh Pesh hai, laHu me ik Sayyaar hai-