Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts
Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts

Sunday, 24 August 2014

Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand

Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand







Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,

Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand,



Unke Abroey-KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai,

Apni Aankhon Mein Badi Der Chubha EID Ka Chaand,



Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jiase,

GaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand,



Leke Haalaat Ke Seraon Mein Aa Jaata Hai,

Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand,



Talhiyaan Badh Gayi Jab Zeest Ke PaiMaane Mein,

Gholke Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand,



ChashM To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi,

Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand

Sunday, 10 August 2014

Eid Ka Din Hai Aaj Tu Gale Mil Lay Nasir

Eid Ka Din Hai Aaj Tu Gale Mil Lay Nasir




Rasm-e Duniya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai

( Nasir Kazmi )

Sunday, 3 August 2014

iss Eid pe loat k aa jana Kuch yadain taza krni hain

""Es Eid pe loat k aa jana "

"Kuch yadain taza krni hain

"Kuch lamhe mor k lane hain"

"Kuch tare tor k lane hain"

"Wo masti aur madhoshi aur" 

"Wo bachpan mor k lana hai"



"Es Eid pe loat k aa jana"


"Ab dil ko Dil ki dharkan se

"Phir Eid Mubarak kehna hai

"Ab sath bohat din rehna hai

"Es Eid pe loat k aa jana


"Es Eid pe loat k aa jana . . . . . . . .

Thursday, 31 July 2014

Muj Ko Teri Na Tuj Ko Meri Khabar Jaye Gi

Muj Ko Teri Na Tuj Ko Meri Khabar Jaye Gi




Eid Ab Ke Bhi Dabe Paon Guzar Jaye Gi

Tuesday, 29 July 2014

Dekha Eid ka Chand to Mangi Yeh Dua Rab Se

Dekha Eid ka chand to mangi ye dua rab se



De de tera sath eid ka tuhfa samaj kay

Tuhfa Duaon ka Tumhein Pohanchey Mera

Tuhfa duaon ka tumhain puhnchy mera

Sada rahe tumhare gird khusion ka ghera

Musaraten tumhain eid ki mubarak hoon

Tumhari zeesat main na aye kabi ghamon ka pheera

Chupke Se Chand ki Roshni Choo Jaye Aap ko

Chupke se chand ki roshni choo jaye ap ko

Dheray se ye hawa kuch  keh jaye ap ko

Dil se jo chahte ho mang lo khuda se

Ham dua karte hain mil jaye wo apko

Ab ke Phir Eid Card Mein Uss Ne

Ab Ke Phir Eid Card Main Uss Ne

Lafz Ik Be Dhian Likha Hai

Phir Meri Eid Karkari Kar Di

Phir Muje Bhai Jaan Likha Hai

Ae Chaand jab Wo Teri Taraf Dekhein

Ae Chand

Jab Wo Teri Tarf Dekhain


Tu Unhain Kuch Yad Dilana


Madhur Se Kuch Geet Sunana


Aur Kehna…


Tumhain Koi Yad Karta Hai


Teri Aarzo, Teri Umeed Karta Hai


Koi Aaj Bi


Tumhain Deikh Kar Eid karta Hai

Khushion Ki Shaam Aur Yaadon ka Yeh Sama

Khushiyon Ki Sham Aur Yaadon Ka Ye Sama

Apni Palkon Pe Hargiz Sitare Na Layen Ge


Rakhna Sambhal Kar Chand Khushiyan Mere Liye


Main Loat Aaun Ga Tu Eid Manaein Ge

Har koi Apne Chaand Se Tha Mehv E Guftagu

Har Koi Apne Chand Se Tha Mahw-e Guftagu



Main Apna Chand Dhondta Raha Aur Eid Guzar Gai

Iss Eid parr Phir Sath Hain Mere

Is Eid Par Phir Sath Hain Mere



Pardais Tanhai Or Bas Teri Yaadain

Uss ki Mehki Hui Yaadon ki Sada Jaag Uthi

Us Ki Mehki Hoi Yaadon Ki Sada Jag Uthi



Door Ufaq Par Jo Nazar Aya Kabi Eid Ka Chand

Eid ka Din hai Aaj tou Gale mil Le Nasir

Eid Ka Din Hai Aaj Tu Gale Mil Lay Nasir




Rasm-e Duniya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai

Rothey Haon Ko mna Loo Phir Eid aa Gayi Hai

Rothay Haon Ko Mna Loo Phir Eid Aa Gayi Hai



Armaan Naye Saja Lo Phir Eid Aa Gayi Hai

Tum Eid Manao Sajh Dhaj ke

Tum Eid Manao Saj Dhaj Ke..,

Me Jese Hon Wesa Hee Sahi,

Jiss Haal Main Hon Main Jesa Hon,

Na Poch Sanam Ab Kesa Hon,

Tum Dill Ka Lagana Kia Jano,

Tum Ashk Bahana Kia Jano,

Tum Nazuk Phool Ho Gullshan Ke..,

Tum Aag Mein Jalna Kia Jano..,

Ye Umar He Tere Hansne Ki,,

Nahein Ishq Mein Aahein Bharne Ki,,

Meri Qismat Mein Hy Dard Sanam..

Sab Seh Longa Taqdir Ke Gham,,

Majbor Milay Jo Ulfat Main…

Sar Aankhon Par Ye Saary Sitam,,

Jab RUB Ko Hy Manzor Yahi,,

Tou BISMILLAH Aesa Hee Sahi..

Tm eid manao saj Dhaj k..,

Me Jese Hon Wese Hee Sahi…

Eid ke Din bhi Tanha hoon

Eid ke din bhi tanha hoon

Main phir bhi jee rah hoon

Teri Eid khushion bhri ho

Rab se karta yeh dua hoon

Ashkon ka sagar jo pee gya

Main aik aisa daya hoon

Muje iss baat ka ghum hai

Eid ke din tum se juda hoon

Tum se gila hai na shikayat

Apne muqadar se khfa hoon

Eid ka Din Hai Gale Aaj to Mil ley Zalim


Eid Ka Din Hai Gale Aj To Mil Lay Zalim

Rasam-e Dunya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai


Ishq Is Tarah Ke Gustakh Taqazy Na Kare


Husn Mazdor Bi, Majboor Bi, Magroor Bi Hai


Ghroor-e Husn Ke Sadqe Mohabat Yun Nahi Karte


Bhari Mehfil Mai Zahir Dil Ki Wehshat Yun Nahi Karte


Ye Mana Tum Haseen Aur Tumhain Haq Hai Shirart Ka


Kisi K Jan Pe Ban Jaye Shirart Yun Nahi Karte


Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka


Adab Lazam Hai Kaabe Ki Zayart Yun Nahi Karte


Kuch Apne Husn Ki Kheerat De Do Ham Faqeron Ko


Kisi Sayal Ko Apne Dar Se Ruksat Yun Nahi Karte


Haya Aur Shram Ko Ham Husn Ka Zeewar Samjhte Hain


Ye Zeewar Lut Ke Reh Jaye Sikhawat Yun Nahi Karte


Tumhari Ik Nazar Pe Faisla Hai Zindagi Ka


Maseeha Ho Ke Bemaron Se Ghaflat Yun Nahi Karte


Maseeha Aur Tum In Kufr Ki Baaton Se Baaz Aao


Khuda Ko Chor Kar But Ki Ibadat Yun Nahi Karte


Aap Ne Jo Kaha Wohi Thek Sahi


Mera Kehna Bi Kuch Bura Tu Nahi


K Eid Ka Din Hai Gale Aj Tu Mil Lay Zalim


Rasm-e Dunya B Hai Moqa B Hai Dastoor B Hai

Hum na Mane Gey Eid aai Hai

Ham Na Mane Gai Eid Ayi Hai



Aap Ate Tu Eid B Ati

Eid aai hai Musarat K Pyaami Ban Kar

Eid Ayi Hai Musarat K Pyami Ban Kar



Wo Musarat Jo Teri Deed Se Wabasta Hai