Showing posts with label Ujla hai Magar Such Kahun Masoom Nahi Hai. Show all posts
Showing posts with label Ujla hai Magar Such Kahun Masoom Nahi Hai. Show all posts

Wednesday 16 July 2014

Ujla Hai Magar Sach Kahun Masoom Nahi Hai By Razab Tabraiz


( Poet: Razab Tabraiz )



Ujla Hai Magar Sach kahun Masoom Nahi Hai


Ujla hai maGar Such kahun, MasoOm Nahi hai
Kafan ko apna Darr abhi MalOom Nahi hai


Apni Nazar ne Dekhi, Faqat Maut Hasina
K jis k Peeche, koi Bhi HajoOm Nahi hai


Main bhi Chalaun iSm, To Bimar Gee Uthen
Niyat Zrur hai, Magr MazmOom Nahi hai


Ik Tara Mujh pe ToOt Gira Neend k Doraan
Ye Khwab Khas lagta hai, amOom Nahi hai


Khaqi Khamir ho k bhi kyu Gul se DoOr hun
Ye Esa Raaz hai k Jiski DhoOm Nahi hai


Fitrat Pe Paida Hota hai Fitrat ki Dain hai
Bacha kisi Mazhab se Kuch mOsoOm Nahi hai


Chahe Saza Kharid lo Ya Maang lo jaZa
Malik to Apni Zaat me MaqsoOm Nahi hai


Nabi ka Adal Such hai, Magar ye bhi Suna hai
AEYSHA k Jesi laadli, KALSOOM Nahi hai


Shab e Meraj ! Vasal k Ehsas ka Byan
Ik Qalb siwa, Warq par RaqoOm Nahi hai


Ghazal pe Tum iMan Dharo, kuch Gunah Nahi
RAZAB hai, koi Mahir e NajoOm Nahi hai