Showing posts with label Romantic poetry. Show all posts
Showing posts with label Romantic poetry. Show all posts

Tuesday 5 August 2014

Monday 4 August 2014

Tuesday 29 July 2014

Eid ke Din bhi Tanha hoon

Eid ke din bhi tanha hoon

Main phir bhi jee rah hoon

Teri Eid khushion bhri ho

Rab se karta yeh dua hoon

Ashkon ka sagar jo pee gya

Main aik aisa daya hoon

Muje iss baat ka ghum hai

Eid ke din tum se juda hoon

Tum se gila hai na shikayat

Apne muqadar se khfa hoon

Eid aai hai Musarat K Pyaami Ban Kar

Eid Ayi Hai Musarat K Pyami Ban Kar



Wo Musarat Jo Teri Deed Se Wabasta Hai

Mai Ne Chaha Tuje Eid Pe Kuch Pesh karun

Mai Ne Chaha Tuje Eid Pe Kuch Pesh Karon

Jis Mai Ihsas K Sab Rang Hon Roshan Roshan

Jis Mai Aankhon Ke Tarashe Hoye Moti Lakhon

Jis Mai Shamil Ho Mere Qalab Ki Dharkan Dharkan

Mujh ko teri Na tujh ko Meri Khabar jaye Gi


Muj Ko Teri Na Tujh Ko Meri Khabar Jaye Gi



Eid Ab Ke Bhi Dabe Paon Guzar Jaye Gi

Saturday 19 July 2014

Apno'n main hain jo Shaad unhein Eid Mubaarak





apno'n main hain jo shaad unhein eid mubarak,

aur ham hain jisay yaad ussay eid mubarak,

apna tu kisi toor se kat ja'ay ka yeh din,

tum jis se milo aaj ussay eid mubarak,



Eid ka Chand falak par nazar aaya jis dam





Eid ka chand falak par nazar aaya jis dam,


meri palkon par sitaray they teri yaadon ke

Khushbu badal phool kaliyan shabnam tere naam






Khushbo,badal,phool kaliyan,shabnam tere naam,

 Dost Eid ki khushiyan hain sab tere naam,

jilmil karta neela pani,jugmug karte chand taray,

raat ke taray,kirnain,chanda,ponam tere naam

iss Eid per jo mil na sake hum tou kya hua






iss eid par ju mil na sakay ham tu kya huwa,


jazbon main ho khaloos tu eid'ein hazaar hain

naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai



IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com

Naseeb jin ko tere rukh ki deed hoti hai,



woh khush naseeb hain hoob un ki eid hoti hai,




Friday 18 July 2014

Kay Tere Janam Din par


Kay Teray Janam Din par
Khuda Paak!
...
Tujhay who sub kuch Ata karay
Jis ki Tammanna Teray Dil nayKi,
...
Har who Khuahish jo teray labon par
Machalti ho
...
Poori Ho!
...
Aur teri yeh Roshan Ankhain Sada Chamkain
...
Teri MAsoom muskurahat
Sada teray labon ka Mehwar ho
...
Khushiyun say tera daman Hameesha Bhara rahay
Aur Khuda Paak!
..
Teri Umer Daraz Karain

Gar yaad tum ko na rahe apna janam Din


gar yaad tum ko na rahe apna janam din,
Check karte rahna yunhi apne mobile ke inbox hardin,

Main kabhi na bhuloonga apne yaarka janamdin,
Chahe woh ho mera akhiri din, Aapko zaroor mera yeh msg.

milega, Jispe likha hoga ”mubarak ho aapko aapka janamdin "

Ashaar mere yoon tou Zamane k liye hain


ashar mere yu to zamane ke liye hai,
***
kuch shear fakat unko sunane ke liye hai,
***
ab ye bhi nahi thik hardard mitade,
***
kuch dard kaleje se lagane ke liye hai..
***

Tumhe jab kabbhi mile fursat mere dil se bhooj utaar do


IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhooj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
...
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
...
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Zeena Zeena Dil mein utraa Hai


Roamtic Poetry
IntikhaaB-E-Sukhan.blogspot.com


ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Tumko hum Dil mein Basa lenge tum aao tau sahi


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao tau sahi..

Sari duniya se chupa lenge gein tum aao tau sahi..

Ek wadakaro ab humse na bichro ge kabhi..

Naaz hum saray utha lenge tum aao tau sahi..

Ikhtilaf bhi mit jayen gein rafta rafta..

Jis trha hoga nibha lenge tum aao tau sahi..

Be wafa bhi ho sitamgar bhi..jafa pesha bhi..

Hum khuda tumko bana lenge tum aao tau sahi..

Yu tu har simt nazar uthatay hi tareeki hai..

Pyarr ke deep jalaa lenge tum aao tau sahi..

Dil ki veerano se ghubar k na moo ko morron..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!