Showing posts with label Habib jalib. Show all posts
Showing posts with label Habib jalib. Show all posts

Monday 4 August 2014

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi JateYe Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate


Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala??
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate

Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha??
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate

Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par,
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate

( Poetry By: Habib Jalib )

Wo Bi Khayif Nahi Takhta-e Dar Se

Wo Bi Khayif Nahi Takhta-e Dar SeMai Bi Mansoor Hoon Keh Do Aghayar Se


Kun Darate Ho Zindan Ki Deewar Se
Zulm Ki Baat Ku Jahl Ki Raat Ku

Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Tum Ne Loota Hai Sadyon Hmara Sukoon

Ab Na Ham Par Chale Ga Tumhara Fasoon
Chara Gar Main Tumhain Kis Tarah Se Kahon

Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Deep Jis Ka Mahlaat Main Hi Jale

Chand Logo Ki Khushiyon Ko Le Kar Chale
Wo Jo Saye Main Har Maslihat Ke Play

Aese Dastoor Ko Subah-e Be Noor Ku
Main Nahi Manta Main Nahi Janta


( Poetry By: Habib Jalib )

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen HamLekin Ye Kia K Shehr Tera Chor Jayen Ham


Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye
Awargi Se Dil Ku Kahan Tak Bachyen Ham

Shayad Baqed-e Zeesat Ye Sa’at Na Aa Sake
Tum Dastan-e Shoq Suno Aur Sunain Ham

Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehr Ki Faza
Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham

Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udas Hai
Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Ham

( Poet: Habib Jalib )

Tum Se Pehle Wo Jo Ik Shakhs Yahan Takht Nashen Tha

Tum Se Pehle Wo Jo Ik Shakhs Yahan Takht Nashen ThaUs Ko Bi Apne Khuda Hone Par Itna Hi Yaqen Tha


Koi Thehra Ho Jo Logo Ke Mad-e Muqabal To Btao
Wo Kahan Hain K Jinhain Naaz Bahut Apne Tain Tha


Ab Wo Phirte Hain Isi Shehr Main Tanha Liye Dil Ko
Ik Zamane Main Mazaj Un Ka Sare Arsh Barin Tha

( Poet: Habib Jalib )

Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte Hain

Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte HainAjab Apna Safar Hai Fasle Bi Sath Chalte Hain


Bahut Kam Zarf Tha Jo Mehflon Ko Kar Gya Weran
Na Pocho Hal-e Yaran Sham Ko Jab Saye Dhalte Hain

Wo Jis Ki Roshni Kache Gharon Tak Bi Pahunchti Hai
Na Wo Suraj Niklta Hai Na Apne Din Badlte Hain

( Poet: Habib Jalib )

Jab Koi Kali Sehan-e Gulistan Mai Khali Hai

Jab Koi Kali Sehan-e Gulistan Mai Khali HaiShabnam Meri Aankhon Main Whain Tair Gayi Hai

Jis Ki Sare Iflak Bari Dhom Machi Hai
A shufta sari Hai Mri A shufta sari Hai

Apni Tu Ujalon Ko Tarasti Hain Nigahain
Suraj Kahan Nikla Hai Kahan Subha Hoi Hai

Bichari Hoi Rahon Se Jo Guzre Hain Kabi Ham
Har Gam Pe Khoi Hoi Ik Yaad Mili Hai

Ik Umar Sunyaen Tu Hakayat Na Ho Puri
Do Roz Main Ham Par Yahan Jo Beet Gayi Hai

Hansne Par Na Majbor Karo, Log Hansain Gay
Halat Ki Tafseer Tu Chehray Par Likhi Hai

( Poet: Habib Jalib )

Ye Dais Hai Andhay Logo Ka

Ye Dais Hai Andhay Logo Ka





Ae Chand Yahan Na Nikla Kar

( Poet: Habib Jalib )

Is Shehr-e Khrabi Main Gham-e Ishq K Mare




Is Shehr-e Kharabi Main Gham-e Ishq K MareZinda Hain Yehi Baat Bari Baat Hai Pyare

Hasrat Hai Koi Ghuncha Hmain Pyar Se Dekhe
Arman Hain Koi Phol Hmain Dil Se Pukare

Har Subah Meri Subah Pe Roti Rehi Shabnam
Har Raat Meri Raat Pe Hanste Rahe Tare

Kuch Aur Bi Hain Kam Hmain Ae Gham-e Jana
Kab Tak Koi Ulji Hui Zulfon Ko Sanware

( Poet: Habib Jalib )

Us Ke Baghair Aaj Bohat Ji Udaas Hai

Us Ke Baghair Aaj Bohat Ji Udaas Hai




Jalab Chalo Kehain Se Usay Dhond Layen Ham

( Poet: Habib Jalib )

Hajoom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte Ham




Hajoom Dekh Ke Rasta Nahi Badalte HamKisi Ke Dar Se Tqaza Nahi Badalte Ham

Hazar Zair Qadam Rasta Ho Kharon Ka
Jo Chal Parain Tu Irada Nahi Badalte Ham

Isi Liye Tu Nahi Motabir Zamane Mein
Ke Rang Sorat-e Dunya Nahi Badalte Ham

Hawa Ko Dekh Ke Jalib Misal Asran
Baja Ye Za’m Hamara Nahi Badalte Ham

( Poet: Habib Jalib )

Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Ham Dukh Sehte Hain

Dil Ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Ham Dukh Sehte HainHam Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bi Rehte Hain

Beet Gya Sawan Ka Mahena Mosam Ne Nazrain Badlen
Lekin In Payasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Behte Hain

Aik Hmain Awara Kehna Koi Bara Ilzam Nahi
Dunya Wale Dil Walon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain

Jin Ki Khatar Shehr Bi Chora Jin Ke Liye Badnaam Hoye
Aaj Wohi Ham Se Begane Begane Se Rehte Hain

Wo Jo Abi Is Rah Guzar Se Chak Greban Guzra Tha
Us Awara Dewane Ko Jalib Jalib Kehte Hain

( Poet: Habib Jalib )

Monday 14 July 2014

Aye Chand yahan na nikla kar By Habib jalib

Ae chand yahan na nikla kar...!<
+
Be'naam se sapne dekha kar...!<
+
Yahan ulti ganga behti hy...!<
+
Is des main andhay hakim hain...!<
+
Na dartay hain, na naadim hain...!<
+
Na logon K wo khaadim hain...!<
+
Hy yahan pe karobar bohat...!<
+
Is des main gurday biktay hain...!<
+
Kuch log hain aali shaan bohat...!<
+
Aur kuch ka maqsad roti hy...!<
+
Wo kehte hain sab acha hy...!<
+
Maghrib ka raaj hi sacha hy...!<
+
Ye des hain andhay logo ka...!<
+
Ae chaand yahan na nikla kar...!<