Showing posts with label Anwar Masood. Show all posts
Showing posts with label Anwar Masood. Show all posts

Monday 4 August 2014

Ustaad Ne Shagird Se Ik Roz Ye Pocha

Ustaad Ne Shagird Se Ik Roz Ye Poocha

He Juma Mubarak Ki Fazeelat Ka Tuje Ilm

Kehne Laga Shagird Ke Maloom Hai Muj Ko

Release Isi Roz Tu Hoti Hai Nai Film

( By: Anwar Masood )

Ajab Dewar Ik Dekhi Hai Main Ne Aaj Raste Main

Ajab Dewar Ik Dekhi Hai Main Ne Aaj Raste Main

Na Kuch Dewar Ke Aagay Na Kuch Dewar Ke Peche

Baray Ghamnak Se Hotay Hain Anwar Kehkahy Tery

Koi Dewar Garya Hai Tere Ishar Ke Peche

( By: Anwar Masood )

Tarz-e Libas Taza Hai Ik Shakal Ihtjag

Tarz-e Libas Taza Hai Ik Shakal Ihtjag

Fashion Ke Ihtimam Se Kia Kuch Ayan Nahi

Ye Larkion Ko Shikwa Hain Kun Larkian Hain Ham

Larkon Ko Ye Gila Hai Wo Kun Larkian Nahin?

( By: Anwar Masood )

Panch Din Milay Zindagi Ke Magr

Panch Din Milay Zindagi Ke Magr

Guzre Thay Abi Char Ke 32 Chali Gai

Kal Wapda Ke Daftar Meeting Thi Kuch Khas


Hone Lagi Takraar Ke 32 Chali Gai


Moot Ki Tarah Is Ka Bi Waqt Na Raha


Eid Ki Shopping Aur Bara Bazar Keh 32 Chali Gai


School Time Or wapda Ki Zahanat


Nashta Hone Laga Tyar Keh 32 Chali Gai


Shadi Wale Din Bare Khush Thay Ham


Gale Parne Lagay Thay Har Keh 32 Chali Gai


Zindagi Rahi Te Fir Milan Gay


Karna Hai Ye Message Upload Warna


Main Keh Bi Na Sakoon Ga Yar 32 Chali Gai


(By: Anwar Masood)

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho

Wo Ju Doodh Shahid Ki Kheer Thi

Wo Jo Narm Masl-e Hareer Thi
Wo Jo Aamle Ka Ichar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha


Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
Jo Hirn Ke Seikh Kabab Thay
Wo Jo Aap Apna Jawab Thay
Wo Jo Quettay Ka Inar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha


Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
Wo Jo Saib Zeenat-e Bagh Thay
Wo Jo Shakh Shakh Chiragh Thay
Wo Jo Aalon Ka Bukhar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha


Tumhain Yaad Ho Ke Na Yaad Ho
Wo Raqeeb Ke Jo Baghair Thi
Wo Jo Chand Raat Ki Sair Thi
Wo Jo Ihd-e Fasl-e Bahar Tha
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha


Muje Sab Hain Yad Zara Zara
Tumhain Yaad Ho Ke Nad Yaad Ho


(By Anwar Masood.)

Niklta Hai K Aadhi Raat Roposh Rehta Hai

Niklta Hai K Aadhi Raat Roposh Rehta Hai

Hmain Maloom Ho Kaise Keh Iska Muda Kia Hai

Munasb Hai Yahi Ab Tu Har Ik Eid Se Pehle

Committee Chand Se Poche Bta Teri Raza Kia Hai

( Anwar Masood )

Un Ke Bare Mai Hai Up to Date Apni Aagahi

Un Ke Bare Mai Hai Up to Date Apni Aagahi

Kon Se Thay Jin Ke Ham Zakhm Judai Seh Gye

Shukar Hai Niswar Ki Dabya Pe Aeina Bi Hai

Dekh Lete Hain Ke Kitne Dant Baqi Reh Gye

( Anwar Masood )

Tay Ho Gya Hai Masla Jab Intisab Ka

Tay Ho Gya Hai Masla Jab Intisab Ka

Ab Ye Bi Koi Kam Hai Likhna Kitab Ka

Khaya Hai Sair Ho Ke Khayali Pakao Aj


Pani Phir Is Ke Baad Pya Hai Srab Ka


Dekhi Hai Aik Film Purani Tu Yun Lga


Jese K Koi Kam Kya Hai Sawab Ka


Sugar Na Ho Kisi Bi Muslaman Ko Ae Khuda


Mushkal Sa Ik Sawal hai Ye Bi Hisab Ka


Anwar Mri Nazar Ko Ye Kis Ki Nazar Lagi


Gobi Ka Phol Muj Ko Lage Ha Gulab Ka


( Anwar Masood )

Hai Aap Ke Honton Pe Ju Muskan Wagera

Hai Aap Ke Honton Pe Ju Muskan Wagera

Qurban Gaye Is Pe Dil-o Jan Wagera

Bali Jo Yunhi Muft Mai Badnam Hoi Hai


Thaily Mai Tu Kuch Aur Tha Saman Wagera


Ab Hosh Nahi Koi K Badam Kahan Hain


Ab Apni Hatheli Pe Hain Dandan Wagera


Kis Naz Se Wo Nazam Ko Keh Dete Hain Nasri


Jab Us Ke Khata Hote Hain Aozan Wagera


Jamhorait Ik Tarz Hakomat Hai K Jis Main


Ghoron Ki Tarah Bikte Hain Insan Wagera


Har Shirt Ki Boshirt Bna Dali Ham Anwar


Yun Chak Kya Ham Ne Greban Wagera


( Anwar Masood )


Narsari Ka Dakhla Bi Sarsri Mat Janye

Narsari Ka Dakhla Bi Sarsri Mat Janye

Aap Ke Bache Ko Aflaton Hona Chahye

Dosto English Zrori Hai Hmare Waste

Fail Hone Ko Bi Ik Mazmon Hona Chahye

( Anwar Masood )

Apni Zoja Ke Ta’aruf Mai Kaha Ik Shakhs Ne

Apni Zoja Ke Ta’aruf Mai Kaha Ik Shakhs Ne

Dil Se Un Ka Mo’taraf Hun Main Zabani Hi Nahi

Chaye Bi Achi Banati Hai Mri Begham Mgr


Munh Bnane Mein Tu Un Ka Koi Saani Hi Nahi