Showing posts with label Chand poetry. Show all posts
Showing posts with label Chand poetry. Show all posts

Monday 18 August 2014

aankh ki nadiya ashk ki nayya yaad tumhari Chand ki raat

aankh ki nadiya ashk ki nayya yaad tumhari Chand ki raat



aankh ki nadiya ashk ki nayya yad tumhari Chand ki raat
Jharna,jugnu tim tim taary kitni payari Chand ki raat

Sookhy patty sard hawaen sooni sarken main or tum
Shah or malka hath hain thaamay aur darbari Chand ki raat

Mera bachpan Dor patangen pakki neenden kachy ghar
Chupan chupai cheena jhapti Raj dulari Chand ki raat

Tash k patte yar hamare maili chadar Gehri chaal
Saans ka huqqa behki baten Hum pe taari Chand ki raat

Wednesday 13 August 2014

kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi

kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi



kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi

mein charagh wo bhi bujha howa, meri raat kesey chamak gayi




meri dastaan ka urooj tha, teri narm palkon ki chha’oon mein

merey sath tha tujhey jagna, teri ankh kesey jhapak gayi




kabhi hum miley bhi to kia miley, wohi dorian wohi fasley

na kabhi hamarey qadam barhey, na kabhi tumhari jhijhak gayi




Tere Hath se Mere Hont tak wohi intzar ki Piyas hai

Mere Naam ki jo Sharab thi kahin raste mein Chhalak gayi




tujhey bhool janey ki koshishain, kabhi kamyaab na ho sakin

teri yaad shakh-e-gulab hai, jo hawa chali to lachak gayi 

Thursday 31 July 2014

Tuesday 29 July 2014

Chupke Se Chand ki Roshni Choo Jaye Aap ko

Chupke se chand ki roshni choo jaye ap ko

Dheray se ye hawa kuch  keh jaye ap ko

Dil se jo chahte ho mang lo khuda se

Ham dua karte hain mil jaye wo apko