Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Monday 11 August 2014

Kadam ruk se gaye hain aj phool bikte daik kar

Kadam ruk se gaye hain aj phool bikte daik kar





Wo aksar mujh se kehta tha “muhabbat phool jesi hai”

( Parveen Shakir )

Lo main aankhain band kiye leti hoon ab tum ruksat ho

Lo main aankhain band kiye leti hoon ab tum ruksat ho




Dil to jane kia kehta hai lekin dil ka kehna kia

( Parveen Shakir )

Main jab bi chahon usay choo ke dekh sakti hoon

Main jab bi chahon usay choo ke dekh sakti hoon




Magar wo shakhs keh lagta hai ab bi khawab aisa…

( Parveen Shakir )

Ku Baku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Ku Baku Phail Gai Baat Shanasai Ki
Us Ne Khushbu Kee Tarah Meri Pzeeraie Ki

Kiase Keh Doon K Mujhe Chorr Diya Us Ne
Baat To Sach Hai Maggar Baat Hai Ruswaaie Ki

Woh Kahein B Giya, Loutaa To Merey Paas Aya
Bas Yahi Baat Hai Achhi Mere Harjaie Ki

Us Ne Jalti Hui Peshaani Pe Jabb Haath Rakhaa
Rooh Tk Aa Gaie Taa’seer Maseehai Kee

( Parveen Shakir )

Paas Jab Tak Wo Rahe Dard Thama Rehta Hai

Paas Jab Tak Wo Rahe Dard Thama Rehta Hai




Phelta Jata Hai Phir Aankh Ke Kajal Ki Tarah


( Parveen Shakir )

Is Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi

Is Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi




Jeton Tu Tujhe Paon Haron Tu Piya Teri


( Parveen Shakir )

Reat Hi Reat Hai Is Dil Main Musafar Mere

Reat Hi Reat Hai Is Dil Main Musafar Mere




Aur Ye Sehra Tera Nakash-e Kafe Pa Chahta Hai


( Parveen Shakir )

Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath

Nam Hai Palkain Teri Ae Moj-e Hawa Raat Ke Saath





Kia Tuje Bi Koi Yad Aata Hai Barsat Ke Sath


( Parveen Shakir )

Koi Ahat, Koi Awaz, Koi Chap Nahi

Koi Ahat, Koi Awaz, Koi Chap Nahi




Dil Ki Galyan Bari Sunsan Hai Aye Koi

( Parveen Shakir )

Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha

Be Faiz Rfaqat Mai Smar Kis Ke Liye Tha

Jab Dhob Thi Qismat Tu Shjar Kis Ke Liye Tha


Pardes Mai Sona Tha Tu Chat Kis Liye Dali


Bahar Hi Niklna Tha Tu Ghar Kis Ke Liye Tha


Jis Khak Se Phota Hai Use Khak Ki Khushbu


Pehchan Na Pya Tu Hunr Kis Ke Liye Tha


Ae Madr-e Geti Teri Hairat Bi Bja Hai


Teri Hi Kam Na Aya Tu Sir, Kis Ke Liye Tha


Yun Sham Ki Dehshat Mai Sar-e Dasht Iradah


Rukna Tha Tu Phir Sara Safar Kis Ke Liye Tha


( Poet: Parveen Shakir )

Tera Pehlu Tere Dil K Tarah Abad Rahe

Tera Pehlu Tere Dil K Tarah Abad Rahe




Tuj Pe Guzre Na Qayamat Shab-e Tanhai Ki

( Poet: Parveen Shakir )

Baad Muddat Usay Dekha Logo

Baad Muddat Usay Dekha Logo

Wo Zara Bi Nahi Badla Logo

Khush Na Tha Muj Se Bichar Kar Wo Bi

Us Ke Chehray Par Likha Tha Logo

Us Ke Aankhain Bi Kehay Deti Thi

Raat Bhar Wo Bi Na Soya Logo

Ajnabi Ban Kar Jo Guzra Hai Abi

Tha Kis Waqt Main Apna Logo

Dost Tu Khair Koi Kisi Ka Hai

Us Ne Dushman Bi Na Smjha Logo

Raat Wo Dard Mere Dil Me Utha

Subah Tak Chain Na Aya Logo

Pyas Sehraon Ki Phir Taiz Hoyi

Abr Phir Tot Ke Barsa Logo

( Poet: Parveen Shakir )

Tooti Hai Meri Neend Magr Tum Ko Is Se Kya

Tooti Hai Meri Neend Magr Tum Ko Is Se Kya

Bujte Rahe Hwaon Se Dar Mgar Tum Ko Is Se Kya


Tum Moj Moj Masle Saba Ghomte Raho


Kat Jayen Meri Soch Ke Par, Tum Ko Is Se Kya


Auron Ka Hath Thamo, Unhen Rasta Dikhao


Mein Bhol Jaon Apna Hi Ghar, Tum Ko Is Se Kya


Abr-e Grez Pa Ko Barasne Se Kya Gharz


Sepi Mein Ban Na Paye Guhr, Tum Ko Is Se Kya


Le Jayen Muj Ko Maal Ghnemat Ke Sath Uduw


Tum Ne Tor Dali Hai Sapar, Tum Ko Is Se Kya


Tum Ne Tu Thak K Dasht Mai Kheme Lga Liye


Tanha Kate Kisi Ka Safr, Tum Ko Is Se Kya


( Parveen Shakir )

Badan Ke Karb Ko Wo Bi Samaj Na Paye Ga

Badan Ke Karb Ko Wo Bi Samaj Na Paye Ga




Mai Dil Se Ro’on Gi Aankhon Se Muskraon Gi

( Parveen Shakir )

Guzar Gye Hain Bohat Din Rafaqat-e Shab Mein

Guzar Gye Hain Bohat Din Rafaqat-e Shab Mein

Ik Umar Ho Gyi Chehra Wo Chand Sa Dekhe


Tere Siwa Bi Kyi Rang Khush Nazar They Mgar


Jo Tuj Ko Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe


( Parveen Shakir )

Wo Tu Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jaye Ga

Wo Tu Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jaye Ga




Masla Phool Ka Hai Phool Kidhr Jaye Ga

( Parveen Shakir )



Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen

Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen

Dukh Kehta Hai Ab Koi Sehra Bi Tu Dekhon

Ye Kya Ke Wo Jab Chahe Muje Chen Le Muj Se

Apne Liye Wo Shakhs Trapta Bi Tu Dekhon

( Parveen Shakir )

Monday 14 July 2014

Abr-e-bahaar ne By Parveen Shakir

Abr-e-bahaar ne,..!<
^.
Phool ka chehra,..!<
^.
Aane banafshi haath main lekar,..!<
^.
Aisa chuma,..!<
^.
Phool ke saare dukh,..!<
^.
Khushbu ban kar bah nikle han,..!

Sunday 6 July 2014

Badban khulne se pahle (PARVEEN SHAKIR)

'+'
Badban khulne se pahle ka ishara dekhna...!<
+
Main samandar dekhti hun tum kinara dekhna...!<
+
Yun bicharna B bahut asan na tha us se magar...!<
+
Jate jate us ka wo mur K dubara dekhna...!<
+
kis shabahat ko liye aya hy darwaze pe chand...!<
+
Ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna...!<
+
Aene ki ankh hi kuch kam na thi mere liye...!<
+
Jane ab kya kya dikhaye ga tumhara dekhna...!<
+