Tuesday 15 July 2014

Apne Bister Per Bohat Dair se Main Neem Daraaz

apne bister per bohat dair se maiN neem-daraaz
 

sochti thi K wo is waqt kahaN per ho ga
 

maiN yahan hoN magar us koocha_e_raNg-o-boo meiN
 

roz ki tarah se wo aaj bhi aaya ho ga
 

aur jub us ne wahaN mujh ko na paaya ho ga
 

"aap ko ilm hai, wo aaj nahi aai haiN"
 

meri her dost se us ne yahi poocha ho ga
 

kyoN nahi aai wo, kia baat hoi hai aakhir
 

khud se is baat pe sou baar wo uljha ho ga
 

kal wo aaye gi tou maiN us se nahi boloN ga
 

aap he aap kayi baar wo roottha ho ga
 

wo nahi hai tou bulandi ka safar kitna katthin
 

serrhiaN charrhte hoye us ne ye socha ho ga
 

rahdaari meiN haray lawn meiN phooloN k qareeb
 

us ne her simt mujhe aan dhoondha ho ga
 

naam bhoole se jo mera kahiN aaya ho ga
 

gher-mahsoos tareeqe se wo choNka ho ga
 

aik jumle ko kayi baar sunaaya ho ga
 

baat kerte hoye sou baar wo bhoola ho ga
 

ye jo larrki nayi aai hai, kahiN wo tou nahi
 

us ne her chehra yahi soch ker dekha ho ga
 

jaan_e_mahfil hai, magar aaj, faqat mere bagher
 

haaye kis darja wahi bazm meiN tanha ho ga
 

kabhi sannattoN se wehshat jo hoi ho gi usay
 

us ne be-saakhta phir mujh ko pukaara ho ga
 

chalte chalte koi maanoos si aahatt paa ker
 

dostoN ko bhi kisi uzr se roka ho ga
 

yaad ker k mujhe, namm ho gai hoN gi palkeN
 

"aanKh meiN parr gaya kuch" keh k ye taala ho ga
 

aur ghabra k kitaaboN meiN jo li ho gi panah
 

her satar meiN mera chehra ubhar aaya ho ga
 

jab mili ho gi usay meri alaalat ki khabar
 

us ne aahista se deewaar ko thaama ho ga
 

soch k ye, k bahel jaaye pareshaani_e_dil
 

youNhi be-waja kisi shaqs ko rouka ho ga
 

ittefaqan mujhe us shaam meri dost mili
 

maiN ne poocha k..... suno! aaye thay wo? kese thay?
 

mujh ko poocha tha? mujhe dhoondha tha chaaroN jaanib?
 

us ne ik lamhe ko dekha mujhe aur phir haNs di
 

us haNsi meiN tou wo talkhi thi k us se aage
 

kia kaha us ne..... mujhe yaad nahi hai lekin.....
 

itna maloom hai k khwaaboN ka bharam toott gaya

No comments:

Post a Comment