Sunday 6 July 2014

Mayaar girta na doston ka BY Shoaib Khan Swati

Mayaar girta na doston ka, na hum dushman ki dhaal hotay...!<
+
Za'eef dushman pe war kertay to waqt K hum daj'jaal hotay...!<
+
Nahin tha apna mizaaj aisa, K zarf kho ker Aana bachatay...!<
+
WaGarna aise jawab detay, K phir na paida sawal hotay...!<
+
Humari fitrat ko janta hy, tabhi to dushman yeh keh raha hy...!<
+
Hy dushmani mein B zarf aisa, jo dost hotay kamal hotay...!<
+
Jo Aa K tum haal puch letay, to itni lambi na umar lagti...!<
+
K wasal ki ik gharri main saray, guzaray mah-o-saal hotay...!<
+
Use mubarak muqam uncha, sahi haqiqat humen pata hy...!<
+
Banatay rishton ki ham B seerhi, to Aasman ki misal hotay...!<


No comments:

Post a Comment