Sunday 6 July 2014

Ne'matein bant'ta jis simt wo zeeshan gaya By Aala Hazrat

Ne'matein bant'ta jis simt wo zeeshan gaya...!<
+
Sath hi Munshia-e-Rehmat ka qalamdaan gaya...!<
+
Le khabar jald K ghairon ki taraf dhiyaan gaya...!<
+
Mere Maula mere Aqa (S.A.W) tere qurbaan gaya...!<
+
Dil hy wo dil jo teri yaad say ma'moor raha...!<
+
Sar hy wo sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya...!<
+
Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam...!<
+
Lillah Al Hamd main duniya se Musalmaan gaya...!<
+
Jaan-o-dil hosh wa khirad sab to Madinay pahonche...!<
+
Tum nahi chalte *Raza sara to samaan gaya...!<
+
Aah wo aankh K nakaam-e-tamanna hi rahi...!<
+
Hy wo dil jo tere dar se pur arman gaya...!<
'*'
*Aur tum par mere Aaqa (S.A.W) ki Inayat na sahi...!<
+
Najdiyo! Kalmah parhane ka B ehsaan gaya...!<
+
Aaj le un ki Panah aaj madad maang un se...!<
+
Phir na maane ge Qayamat mein agar maan gaya...!<
+
Uff ray munkar yeh badha joshe ta'assub akhir...!<
+
Bheed main haath se kam bakht ke Imaan gaya...!<

No comments:

Post a Comment