Sunday 6 July 2014

Aye mere Humnasheen By Muzafar Akbar Abadi

Aye mere Humnasheen chal kahin aur chal...!<
+
is chaman mein ab apna guzaara nahi...!<
+
Baat hoti gulon tak to seh lete hum...!<
+
Ab to kaanton pe B haq humaara nahi...!<
+
De sadaa Daar par aur kabhi Toor per...!<
+
Kis jaga main ne tum ko pukaara nahi?...!<
+
Thokren yoon khilaane se kya faida?...!<
+
Saaf keh do ke milna gawaara nhi...!<
+
Gulistan ko lahoo ki zaroorat pari...!<
+
Sub se pehle he gardan humaari kati...!<
+
Phir B kehte hein mujh se yeh ahl-e-chaman...!<
+
ye chaman hy humaara tumhara nahi...!<
+
Zalimon apni qismat pe nazaan na ho...!<
+
Dor badle ga ye waqt ki baat hai...!<
+
Wo yakeenan sune ga sadaa'en meri...!<
+
Kya tumhara Khuda hy, humaara nahi?...!<
+
Aaj aaye ho tum kal chale jao ge...!<
+
Ye mohabbat ko apni gawaara nahi...!<
+
Umar bhar ka sahara bano to bano...!<
+
Do ghari ka sahara, sahaara nhi...!<
+
Apni zulfon ko rukh se hata li jiye...!<
+
Mera zoq-e-nazar aazma Lijiye...!<
+
Aaj ghar se chala hun yeh hi soch kar...!<
+
Ya to nazrin nahi yaa nazaara nahi...!<

No comments:

Post a Comment