Tuesday 29 July 2014

Eid ka Din Hai Gale Aaj to Mil ley Zalim


Eid Ka Din Hai Gale Aj To Mil Lay Zalim

Rasam-e Dunya Bi Hai Moqa Bi Hai Dastoor Bi Hai


Ishq Is Tarah Ke Gustakh Taqazy Na Kare


Husn Mazdor Bi, Majboor Bi, Magroor Bi Hai


Ghroor-e Husn Ke Sadqe Mohabat Yun Nahi Karte


Bhari Mehfil Mai Zahir Dil Ki Wehshat Yun Nahi Karte


Ye Mana Tum Haseen Aur Tumhain Haq Hai Shirart Ka


Kisi K Jan Pe Ban Jaye Shirart Yun Nahi Karte


Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaaba Hai Nigahon Ka


Adab Lazam Hai Kaabe Ki Zayart Yun Nahi Karte


Kuch Apne Husn Ki Kheerat De Do Ham Faqeron Ko


Kisi Sayal Ko Apne Dar Se Ruksat Yun Nahi Karte


Haya Aur Shram Ko Ham Husn Ka Zeewar Samjhte Hain


Ye Zeewar Lut Ke Reh Jaye Sikhawat Yun Nahi Karte


Tumhari Ik Nazar Pe Faisla Hai Zindagi Ka


Maseeha Ho Ke Bemaron Se Ghaflat Yun Nahi Karte


Maseeha Aur Tum In Kufr Ki Baaton Se Baaz Aao


Khuda Ko Chor Kar But Ki Ibadat Yun Nahi Karte


Aap Ne Jo Kaha Wohi Thek Sahi


Mera Kehna Bi Kuch Bura Tu Nahi


K Eid Ka Din Hai Gale Aj Tu Mil Lay Zalim


Rasm-e Dunya B Hai Moqa B Hai Dastoor B Hai

No comments:

Post a Comment