Friday 8 August 2014

usse apne farda ki fikar thi wo jo mera waqif e haal tha

usse apne farda ki fikar thi,wo jo mera waqif.e.haal tha

wo jo uski subha urooj thi,wohi mera waqat.e.zaval tha
mera dard kese wo janta,meri baat kese wo manta

wo to khud fana k safar mai tha,usse rokna b mahal tha
wo jo uss k samne aa gaya,wohi roshni mai naha gaya

ajab uski hebat.e.husn thi,ajab uska rang.e.jamal tha
dam.e.wapsi usse kya hua,na wo roshni,na wo taazgi

wo sitara kese bikhar gaya,wo to ap apni misaal tha
kahan jaoge mjhe chor kar,mai ye puch puch kar thak 
gaya

wo jawab mjhko na de saka,wo to khud sarapa sawal tha
wo mila to sadiyo’n k bad b,mere lab pe koi gila na tha

usse meri chup ne rula dia,jisse guftagu mai kamal tha
wo jo mjhse mil k tha ro dia,faqat itna hi mjhse keh saka

jisse janta tha mai zindagi mai,wo to sirf 
weham.o.khayal tha

No comments:

Post a Comment