Friday 8 August 2014

Chalo hum farz kartay hain

Chalo hum farz kartay hain 

wohi batein jo duniya main nahi hoti 


chalo hum farz kartay hain 


kay har suu noor phaila hai 


na din main chaya sunnata 

na raaton main andheira hai 


na suraj shab main sota hai 


na din main chand khota hai 


hai har dil roshni say pur 


aur aankhon main ujalay hain 


chalo hum farz kartay hain 


kay har mosam baharaan hai 


khizaan main phool khiltay hain 


nigahein rang say nahati hain 


gulon ki khushboou'n say 


sab nazaray muattar hain 


parinday chahchahatay hain 


khushi kay geet gatay hain 


chalo hum farz kartay hain 


kay har dil main muhabbat hai 


kaheen jaghray nahi hotay 


na barish dukh ki hoti hai 


na aandhi gham ki chalti hai 


na nafrat phaans banti hai 


hain sabhi chehron pe muskanain 


kaheen jaghray nahi hotay 


chalo hum farz kartay hain 


kay gham khushion say behtar hain 


chalo humfarz kartay hain 


ye duniya tum say behtar hai 


zara tahro.....!!!!!!!! 


magar hum farz kiyun kar lain 


yakeen mujh ko batata hai 


haqeeqat to haqeeqat hai 


main sab kuch jaan sakta hoon 


na suraj shab main chamkay ga 


na din main chand niklay ga 


khizaan main gul nahi khiltay 


yeh nafrat mar nahi sakti 


na gham khushiyon say behtar hain 

na duniya tum say behtar hai 


hai duniya ki haqeeqat kia 


faqat aik tum hi achay ho 


jahano'n say zamano'n say 


maknoon la makano'n say 


yeh sab kuch hai wohi jo 


isi duniya main hota hai 


to phir hum farz kiyun kar lain 


fakat ik tum hi achay ho......

No comments:

Post a Comment