Saturday, 16 August 2014

Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de

Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de



Tujhy bhula k jiyun aisi bad-dua bhi na de
Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de


Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de


Ye umer meine tery naam be-talab likh di
Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de


Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de


Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de

No comments:

Post a Comment