Saturday, 16 August 2014

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Gay

Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Gay



Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Gay
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Gay

Ab to chehron ke khad-o-khal bhi pehle se nahin
Kis ko maloom tha tum itne badal jao Gay

Apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
Surkh sholon se jo khelo ge to jal jao Gay

De rahe hain tumhain to log rafaqat ka fareb
In ki tareekh parho ge to dehal jao Gay

Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Gay

Khwabgahon se nikalte hue dartay kyon ho
Dhoop itni to nahin hai ke pighal jao Gay

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Gay

Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Gay

Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho ke Dhal Jao Gay

Subh sadik mujhe matloob hai kis se mangon
Tum to bholay ho, chraghon se behal jao Gay

No comments:

Post a Comment