Wednesday 6 August 2014

Kurb-E-Tanhai Main Jalti Huwi Is Zaat K Darwaze Per,


*. .Ye Udaas Aankhen Meri,

Kurb-E-Tanhai Main Jalti Huwi Is Zaat K Darwaze Per,


Rasta Dekhti Rehti Hain Kisi Baadal Ka,

Aesa Baadal,

Jo Mere Jism K Sehra Ko Bhi Sahil Kar De,

Haath Haathon Main Rakhe,

Rooh Ko Jhal Thal Karde,

Yeh Udaas Aankhen Meri,

NAQAB Ki Oath Main Lipti Huwi Raat K Darwaze Per,

Raasta Dekhti Rehti Hain Kisi Sooraj Ka,

Aisa Sooraj,

Jo Muhabbat K Har Ek Naqsh Ko Roshan Karde,

Khauf Ki Lahar Se Jamte Huwe Logon Main Hararat Bharde,

Bhaagte Dodte Is Waqt K Hangame Main,

Wo Jo Ik Lamha Amar Hai,

Wo Teharta Hi Nahi,

Be-Yaqeeni Ka Yeh Mahol Bikharta Hi Nahi,

Mera Sooraj,

Mere Aangan Main Utarta Hi Nahi. .*

No comments:

Post a Comment