Wednesday 6 August 2014

Kab se khamoshi si gum sum yonhi bethi hoon.. Saamne hai khat tera..


*. . .Zakhm-€-Masihai. . .*

Kab se khamoshi si gum sum yonhi bethi hoon..

Saamne hai khat tera..

Aur dil k aangan main..

Mosam e dard dabe paon chala aaya hai..

Aur zakhmon ki fasal ab tak bohat achi hai..

Baaton Baaton main lage dil pe jo..

Us baat ka zakham..

Dil ki mandiyon pe jamjae jo..

Us raat ka zakham..

Is siyahi main jo gum hogya..

Us saath ka zakham..

Jo yakeen toot k tabdeel hwa rezon main..

Rooh main chubte khatakte huwe zaraat ka zakham..

Tum ne likha hai k..

Tum baat k zakhmon ko sehna seekho..

Tum bhi auron ki tarha dunia main rehna seekho..

Mashwara hai to bohat khoob..

Magar!!

Aesi dunia se kahan meri shahnasai hai,

Yeh tera khat hai ya zakhm e masihai hai. . . .*

No comments:

Post a Comment