Friday, 8 August 2014

Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me

Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me…..

Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise bhool jaye…..

Mana aaj saath nahi hum tere……


Par tere binn hum bhi kaise Zindagi ki harr Khushi Kabool jaye…..

Chahate the hum tujhe Beintihaan……


Iss baat se Inkaar nahi karte……

Misaalein dete the jo hum PYar ki……


Aaj bhi unse nahi mukarte……

Par woh Manjar Judaai ke…..Kaise tujhe bataye……


Rukhh toh badal leti hai Hawaye….Par iss Kismat ko kaise 

apni baaton me uljhaye……

Aye Dilnasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye……

Yaad hai mujhe bhi woh bheegi reit se Naam tera Mitaana……


Tu hee bata Sanam Kamjor Tehreer ko kaise apne Pyar ki 

TaaQat hum banaye……


Maana ke hum hai Gunehgaar tere…..


Jo tere Haste Chehre ko iss Kadar Udaas Chor aaye…..

Denge Qurbaani ek dinn teri hee Khaatir…..


Phir na kehna tum ab bhi ho pehle jaise…..Door reh kar bhi na badal paaye…..

Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…….!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment