Tuesday 5 August 2014

Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta.

*. . . .Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta. . . .*

Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta


Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga


Sitaray, chand, Sara Aasman Raah ma bicha deta


Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka


Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita


Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar


Tmharay shehar ki janib hawaon ma Urra deta. . . .*

No comments:

Post a Comment