Ye jo hum safar mein bhi ghar saa ek banatay hain
Ye jo hum safar mein bhi ghar saa ek banatay hain
Reit ke samandar mein kashtiyaan chalatey hain
Abb ke kis tarhaan ka ye mausam-e-visaal aaya
Titliyoun ke haathon se rangg urtey jatey hain
Jin pey faakhtaaon ke geet phool buntey hoon
Aaao ! un darakhton per naam likh ke aatey hain
Pehley saath chalney sey dil ko khauff aata thaa
Aur abb bicharney ke wasvasey daratey hain
Us ke laut aaney ka khwab dekhtii aankehin
Shaam sey dareechey mein rakh ke baith jatey hain
Us taraf samandar ke khaufnaak taiwer hain
Aur hum ghaarondon mein seepiyaan sajatey hain
Vehshaatoon ke sehraa mein kaun ye bataey gaa
Kis ko yaad rakhtey hain kis ko bhool jatey hain..!!!
No comments:
Post a Comment