Sunday 3 August 2014

Wo chand chehry wo behki batain sulagty din thy mehkti raatain

Wo chand chehry wo behki batain,
sulagty din thy mehkti raatain, 

wo choty choty sy kaghazon pe . . . . 

muhabbaton k payaam likhna 

gulab chehron sy dil lagana,
wo chupky chupky nazar milana, 

wo arzou'on k khwab bun'na, 
wo qissa-e- naa tamaam likhna. . .

mery nagar ki hasin fizaao! 
kahin jo un ka nishan pao 

to poochna k kahan basy wo? 

kahan hai un ka? qayam likna. . . . 

kabhi kitaabon main phool rakhna,
kabhi darakhton py naam likhna, 

hamain bhi hai yaad aaj tak wo! 

nazar se harf-e-salaam likhna!

No comments:

Post a Comment