Wednesday 6 August 2014

tumein jab ro-bru dekha karein gay ye socha hy bahut socha karien gay


Ghazal

tumein jab ro-bru dekha karein gay
ye socha hy bahut socha karien gay

nazar mein chodvein ka chand ho ga
samundar ki zuban bola karein gay

tumara aks jab utry ga dil mein
badan mein ayeny toota karein gay

bicharna hy to ye tey kar lein ab se
judai ka safar tanha karein gay

na aey ga koi ilzam tum par
ham apny ap ko ruswa karein gay

ek uljhan mein kati hy umar MOHSIN
k pal do pal mien hum kia kia karien gay...

No comments:

Post a Comment