Taaluq is tarha tora nahi kertay
Taaluq is tarha tora nahi kertay..
Ke phir say jorna dushwaar ho jaye..
Hayaat ik zehr main doobi howe talwaar ho jaye..
"MOHABBAT is tarha chora nahi kertay"..
Khafa honey ki rasmain hain..
Bigarnay k tareekay hain..
Rawaj-o-rasm tark-e-dosti per so kitaabain hain..
Rawadaari ka hargiz rasta chora nahi kertay..
"Taaluq is tarha tora kertay"..
Kabhi bulbul guloon ki khamoshi say rooth jati hay..
Per aglay saal sab kuch bhool ker phir lot aati hay..
Sabhi bhanwroon ko gul harjaai kehtay hain..
Magar thori si zidd k baad bandhan khol detay hain..
Kabhi podoon say pani door ho jaye..
To hamsaya darakhtoon k haath paighamat jatay hain..
"MOHABBAT main sabhi ik dosray ko aazmaatay hain"..
Mager aisa nahi kertay..
Ke har umeed har imkaan mit jaye..
Kahan tak khainchni hay dor ye andaza rakhtay hain..
"Hamesha chaar deewari main ik darwaza rakhtay hain"..
Judai mustaqil ho jaye..
To ye zindagi zindaan ho jaye..
Ager khushboo hawaoon say marasim munqataa ker lay..
"To khud main doob ker be-jaan ho jaye"..
sunoo.......!!!!!!!!!
Jeenay say moun mora nahi kertay..
MOHABBAT is tarha chora nahi kertay..
sunoo JANA........!!!!!!!!
Ager naraz ho to main manati hoon..
Magar dekho..
Kisi bhalay shaaiyer nay..
Shaiyed apnay lafzoon main kaha tha... keh..
"Ager ham na rahay to phir kon tum ko manaye ga"..
Chalo ab maan bhi jao na.......
Ke ranjish raabtoon ko munqataa kernay main maahir hay..
Sunoo Jana...
Ager naraz ho to main manati hoon...
No comments:
Post a Comment