Sulag raha hon main dhere dhere
Sulag raha hon main dhere dhere,magar kise par ayan nahi hai
wo aag dil main lagi hai jis main tapish hai lekin dhoan nahi hai
tumhare gham ne sikha diya hai mujhe har ek gham se piyar karna
gham-e-jahan bhe yaqen mano mizaj-e-dil par giran nahi hai
khuda ki basti main har qadam par koe hai gir'yan kise k gham main
ye dard tu dard-e-mushtarik hai ye aankh purnum kahan nahi hai?
mtaa-e-umar-e-azeez sari ganwa choke par safar hai jari
ajeeb souda hai aashqi kar k fikr-e-sood-o-zyan nahi hai
meri khamoshi pe hansne walon ye bhool kar bhe na sooch lena
k mere pehlo main dil nahi hai k mere moonh main zuban nahi hai
No comments:
Post a Comment