Friday, 22 August 2014

Sheher mein teri paziraai na honay dongi

Sheher mein teri paziraai na honay dongi





Sheher mein teri paziraai na honay dongi

too mera hay tujhay harjaai na honay dongi



Chup rahon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoon

is sy bardh kar teri ruswaai na honay dongi



Yaad aaon gi tujhay achhay dinon ki soorat

main mukammal teri tanhaai na honay dongi



Janti hon keh mera hona hay us say mashroot

apnay dushman ki main paspaai na honay dongi



Achhay lagtay hen Qamar mujh ko parinday lekin

us ko unka bhi tamannaai na honay dongi

No comments:

Post a Comment