Tuesday 5 August 2014

roothna apki adat hai to manana hai kamzori meri

roothna apki adat hai to manana hai kamzori meri..pyaar apki chahat hai to es ko nibhane ki chahat meri..


har lamha mujh ko pane ki khawahish tumhari or us lamhe ko pana meri..suno or bhi khawahish hai meri jo ho sakey to poori karna hai tumhe


in lamhon se chura k kar lun qaid apni bahon me tumhe..k door ja na sakoo itna khud me hi sama lun tumhe...


dar lagta hai es duniya ki nazron se mujhe ... kabhi aise na ban jana k kanch ho kar bikhar jaoon main


suno ye kaanch k tukrey zakham dein gey tumhe..jo ho sakey to itna karam karna khud ko un zakhmon se bachana..


k nai dekh saktey kabhi toot'ta huwe hum tumhe..bas itni khawahish hai pyaar karte rahain tumhe ...


har pal har lamha har saans har chahat har khawahish bas or bas tere naam ki ho...

No comments:

Post a Comment