Monday 4 August 2014

Qarz-e Nigah-e Yaar Ada Kar Chuke Hain Ham

Qarz-e Nigah-e Yaar Ada Kar Chuke Hain HamSab Kuch Nisar Rah-e Wafa Kar Chuke Hain Ham


Kuch Imtihan-e Dast-e Jafa Kar Chuke Hain Ham
Kuch Un Ki Dastras Ka Pta Kar Chuke Hain Ham

Ab Ihtiat Ki Koi Soorat Nahi Rahi
Qatal Se Rism O Rah Sawa Kar Chuke Hain Ham

Dekhein Hain Kon Kon Zroorat Nahi Rahi
Koye Sitam Mai Sab Ko Khafa Kar Chuke Hain Ham

Ab Apna Ikhtiar Hai Chahain Jahan Chalain
Rehbar Se Apni Rah Juda Kar Chuke Hain Ham

Un Ki Nazar Mai Kya Krain Pheka Hai Ab Bi Rang
Jitan Lahu Tha Sarf-e Qaba Kar Chuke Hain Ham

Kuch Apne Dil Ki Kho Ka Bi Shukrana Chahiye
Soo Baar Un Ki Kho Ka Gila Kar Chuke Hain Ham

( Poet: Faiz Ahmad Faiz )

No comments:

Post a Comment