Friday 8 August 2014

Phirtey hain kab se dar'b'drar Ab is Nagr Ab us nagr

Phirtey hain kab se dar'b'drar

Ab is Nagr Ab us nagr


Ik doosrey key humsafr


Main aur Meri Awargi

Na'ashna her reh-guzr


Na meherbaan sab ki nazr


Jayee to ab jayee kidher


Main aur Meri Awargi

Ik din mili ik meh-jabeen


tan bhi haseen jaan bhi haseen


dil ney kaha hum se wohein


khwaboon ki hai manzil yehi

Phir yun hua woh kho gayee


Aur mujh ko zid si ho gayee


Layee gey us dhoondh ker


Main aur Meri Awargi

Hum bhi kabhi abaad the


aise kaha berbaad the


befiqr the azaad the


masroor the dilshad the

Woh chaal aisi chal gaya


hum bhuj gay'e dil jal gaya


nikley jala ke apna gher


Main aur Meri Awargi

Yeh dil hi tha joh seh gaya


Woh baat aisi keh gaya


Kehne ko phir kya reh gaya


Ashkoon ka derya beh gaya

Jab keh ke woh dil bher gaya


meray liye tu mar gaya


roote hain us ko raat bher


Main Aur Meri Awargi.....(Javed Akhtar)

No comments:

Post a Comment