Tuesday, 19 August 2014

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar

Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar



Na Samaton Mein Tapash GhUley Na Nazar ko Waqf-e-Azaab Kar

Jo Sunaaii Dey Usey Chup Sikha jo Dikhaaii Dey Usey Khwaab Kar



Abhi mUntashi Na ho AjnAbii Na Wisaal rutt Key Karam jatta

Jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar



Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pey Yeh Abr Kyoun

Mujhey Orhnay Dey Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar



Kahien Aablon Key Bhanwar Bajien Kahien Dhoop Roop Badan Sajien

Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj Dey Kabhi Chashm e Tar ko Chanaab Kar



Yeh Hajoom e Sitam-Garaan Na Suney Ga Teri Sada Kabhii

Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Sey Khataab Kar



Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar Hai Tohii Dasta Yaar Saja Isey

Koii Ashk Phir Sey Sharar Bana koii Zakhm Phir Sey gulaab Kar

No comments:

Post a Comment