Monday, 18 August 2014

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan

Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan



Na intazaar ke lazzat na aarzu ke thakan

Bujhi hain dard ke shamein, k so gya hy badan



Sulag rahi hain na jany, kis aanch se aankhein

Na aansooan ke talab hy, na rat jago’N ke thakan



Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pe na ja

Yeh aj k qad-o-gaisoo hain, kal k dar-o-rasan



Bahar-e-qurb se pehly, ujaarh deti hain

Judaion ke hawain, mahabbato’N k chaman



Phir aaj shab tery kadmo’N ke chaap k humraah

Sunai de hy dil-e-na muraad ke dharkan



Yeh zulm dekh k tu jaan-e-shairi hy magar

Meri ghazal mein tera naam bhi hy jurm-e-sukhan



Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hy

Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan



Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta

Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman 

No comments:

Post a Comment