na hi manzil mili , na koi aashna, main bhatakti rahi, safr jaari raha
na hi manzil mili na koi aashna, main bhatakti rahi, safr jaari raha
umar-e-chand roz ka lamha lahma yahan main ne tanha saha garchay bhari raha
yeh muqaddar ke madd-o-jazar kiya kahoon? ke main shahsdar rahi, kuch bhi keh na saki
woh mujhe daikh kar ajnabi ban gaya jo merey rastoN ka pujari raha
mujh say pucho nahin tum Khuda ke liye, main nahin janti muskurahat hai kia
ke main jabtak rahi to mere dais main aalam-e-wehshat-o-sog taari raha
na koi aarzoo hai na shikwa gila, yeh bhi acha huwa mera dil bujh gaya
warna jab tak raha yeh mere wastay mustaqil wajha-e-bayqaraari raha
aisa kiyoonkar huwa…sochti hi rahi, main dukhon ke qafas main umar bhar rahi
main kisay dosh doon ke meri raah main…mera apna muqaddar shikaari raha
woh mila to bhi ankhon ko aansoo milay, na mila to bhi hontoN pe aahain raheeN
woh ajab shakhs tha ke har ik haal main…wajha-e-bay sabab sogwaari raha
No comments:
Post a Comment