Friday 8 August 2014

Mujhay apne zabt pay naaz tha sar-e-bazm raat yah kia hua

Mujhay apne zabt pay naaz tha 

sar-e-bazm raat yah kia hua 

meri ankh kaisay chalak gai 

mujhay ranj hai yah bura hua 

meri zindagi kay chiragh ka 

yah mezaj kuch naya nahi 

abhi roshni abhi teergi 

na jala hua na bujha hua 

mujhay jo bhi dushman-e-jan mila 

wo pukhta kar-e-jehan mila 

na kisi ki zerb ghalat pari 

na kisi ka teer khata hua 

mujhay rastay main para hau 

aik ajnabi ka khat mila 

kahin khoon-e-dil say likha hua 

kahin ansoun say mita hua 

mujhay humsufer bhi mila to woo 

sitam zareef meri tarah 

kai manzilon ka thaka hua 

kai raston main lutta hua

No comments:

Post a Comment