Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya
Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya
kia kahoon kitni aziyat se guzer ker aaya
har koi ham se mila umr-e guraizan ki tarah
woh tou jis dil se bhi guzra ghar ker aaya
tum ne ik sang uthaya mer aayiney per
aur har shakhs ko mein aayeina-gar ker aaya
mujh se kia poochtey ho shehr-e wafa kaisa hai
aisa lagta hai saleebon se uter ker aaya
sirf chehrey hi agar karb ke aayiney hein
kyun na mein dil ka lahoo aankh mein bhar ker aaya
ab jo is sheher ki taqdeer ho, mein tou logon
dar-o deewar pe hasrat ki nazar ker aaya
ham tou samjhey thay mhbt ka payambar hai Faraz
aur woh be-meher touheen-e hunar ker aaya.
No comments:
Post a Comment