Wednesday 6 August 2014

Kisi se Pyar karta hoon Hamesha Haar jata hun,


Kisi se Pyar karta hoon Hamesha Haar jata hun,

Main jitni baar karta hun Hamesha Haar jata hun,

Kabhi sham se pehle kisi jana ki Ankhon se

Ye ankhen 4 karta hun Hamesha Haar jata hun,

Kabhi kisi Mehfil main Wafa ki Guftagu par

Jab Takrar karta hun Hamesha Haar jata hun,

Nigahon main to Dusron se Bazi Jeet jata hun

To jab Izhar karta hun Hamesha Haar jata hun,

K shayad is dafa koi mujhe apna bana le ga

Hamesha Pyaar krta hun Hamesha Haar jata hun.

No comments:

Post a Comment